tere aane ki jab khabar mehke
tere aane ki jab khabar mehke
teri khushbu se sara ghar mehke
shaam mehki tere tasavur se
shaam ke baad phir seher mehke
tere aane ki jab khabar mehke
teri khushbu se sara ghar mehke
wo ghadi do ghadi jahaan baithe
wo jagah mehke wo seher mehke
tere aane ki jab khabar mehke
teri khushbu se sara ghar mehke
raat bhar sochta raha tujhko mehake
teri Khushbu se sara mara ghar mehke.....!
mere khyaalon se shayad wo sharmaati to hogi
mere khyaalon se shayad wo sharmaati to hogi
neend magar usko bhi nhi ati hogi
chand ki khud koi roshni nhi hoti
ye sochkar wo aur bhi itraati to hogi
kabhi kaliyo ko dekh kar
kabhi titliyon se khel kar
dhadkanein uske dil ki bhi badh jaati hogi
nadi ko dekhkar behak jaati hai
uski baaton mein rawaani chalak aati to hogi
khair ki bijli phalak pe kadakti hai
ye sochkar wo aur bhi seham jaati to hogi
mera zikr kabhi to aa jaata hoga
ki wo apne aap simat to jaati hogi
ye zindagi kitni choti hoti hai
pal bhar mein zinda pal bhar mein mar jaati hogi....!
pal bhar ki mulaqaat ne dil tor diya hai
pal bhar ki mulaqaat ne dil tor diya hai
bus choti si ek baat ne dil tor diya hai
ab sheher mein ho kar bhi woh hum se nahi milte
badlay huwe halaat ne dil tor diya hai
kuch duniya ki baaton ne sukoon loot liya tha
kuch us k khayalaat ne dil tor diya hai
kis kis ko main har baat ki tafseel batao
logon k sawalat ne dil tor diya hai....!
yaad karke mujhe ab taklif to hoti hogi
Yaad karke mujhe ab taklif to hoti hogi
ek qisa hoon purana sa bhula de mujhko
doobte doobte awaz teri sun jaun
akhri baar tu sahil se sada de mujhko
main tere hijr main chup chaap na mar jaun kahin
main hoon sakte main kabhi ake rula de mujhko
dekh main hogaya badnam kitabon ki tarah
meri tasheer na kar ab tu jala de mujhko
roothna tera meri jaan le jata hai
aese naraz na ho zara haske to dikhade mujhko
aur kuch bhi nhi manga mere malik tujhse
uski galion main pari khak banade mujhko
log kehte hai ke ye ishq nigal jata hai sabko
main bhi is ishq mani aya hu dua de mujhko
yahi oqat hai meri tere jeevan main k main
koi kamzor sa lamha hu bhulade mujhko....!
zindagi qaid-e-musalal k siwa kuch bhi nhi
zindagi qaid-e-musalsal k siwa kuch bhi nhi
kiya tha jurm- e-wafa k siwa kuch bhi nhi
jenay ki aarzo mein roz mar rahey hai
dawa teri muhabbat k siwa or kuch bhi nhi
khnchti ha apni taraf gulshan ki rang- o- bu
kashish phoolon mein khushboo k siwa kuch bhi nhi
bhool jana ek naymat ha kuda ki is lia
bhoolna tera haqeeqat k siwa kuch bhi nhi
thora ha farq baqi insan au hewan ma
saqi tujh mein muhabbat k siwa kuch bhi nhi....!
khud ko chup karak main aaj bohat roya
khud ko chup karak main aaj bohat roya
purani yadoon ko gunguna k main aaj bohat roya
tanhai k gumse nidhal ho kar
teri tasveer galy se laga k aj bohat roya
apno ne jo kiya wo sab bhula diya
ghayron ko aazma k main aaj bohat roya
main kaha is qabil k wo mulaqaat karen mujhse
khwahishon ko dabo dabo ke main aaj bohat roya.....!
bazi-e-ishq kuch is tarha se harey yaaro
bazi-e-ishq kuch is tarah se harey yaaro
zakham par zakham lagey dil pe humare yaaro
koi to aisa ho jo ghao par marham rakhe
yu to dushman na buno sare ke sare yaaro
bazm main ser ko jhukaye huye jo bethy hai
in ko mat chero yeh hai ishq ke marey yaaro
jinn main hoty the kabhi meher o wafa ke moti
in hi ankhon main sitam ke hai sharary yaaro
dost hi apny jo kerny lageen nazr-e-tofan
kaam nhi aty phir koi saharey yaaro
sang gheron ne jo marey to koi dukha na hu
mere gaye tum ne mager phool jo marey yaaro
wo jo raha dil ger tumhari khatir
tum ne kya kya nhi taney use marey yaaro......!
mat tood mujhse wo taluk jo teri zaat se hai
mat tood mujhse wo taluk jo teri zaat se hai
tu khafa meri kis baat se hai
tum bhi na uljha kar mujhse is tarah
jo tu achi tarah wakif mere jazbat se hai
main kaise jee lun tumse rooth kar
meri har saans wabasta teri yaad se hai
mera taluk jura hai kuch is tarah tumse
jaise insan ka rishta khud apne aap se hai……!
na tujhe chor sakte hai tere ho bhi nhi sakte
na tujhe chor sakte hai tere ho bhi nhi sakte
ye kesi bebasi hai ham ro bhi nhi sakte
ye kesa dard hai hamein pal pal tarpaey rakhta hai
teri yaad aati hai to phir so bhi nhi sakte
chupa sakte hai na dikha sakte hai logon ko
kuch aese dagh hai dil par ham dho bhi nhi sakte
kaha to tha chor deingay ye nagar phir ruk gaey lakin
tumhein paa to nhi sakte lakin kho bhi nhi sakte
hamara ek hona bhi nhi mumkin ho raha ab to
jaaen kesay kahe tum se door reh bhi nhi sakte......!
meri aankhon main ansu aye na hote
meri aankhon main ansu aye na hote
wo humein dekh kar jo muskuraye na hote
sochta hu aksar tanhai may main
meri zindagi main kash wo aaye na hote
na tarapte hum unke liye itna
dil ne khawab unke sajaye na hote
na toot kar bikharta main is kadar
kash wo mere dil main apna ghar jo banaye na hote.....!
toote hue dilon ki dua mere sath hai
toote hue dilon ki dua mere sath hai
duniya teri taraf hai to kya khuda to mere sath hai
awaaz ghunghroon ki nahin hai to kya hua
saagar ke totne ki sadaa to mere sath hai
tanhai kisko kehte hai mujhko pata na tha
kya jaane kis hasin ki dua mere sath hai
paimana samne hai to kuch gum nhi kashif
ab dard-e-dil ki koi dava mere sath hai
duniya teri taraf hai to kya khuda to mere sath hai
toote hue dilon ki dua mere sath hai....!
tum se judai k ansoo aankho ne rehte hai
tum se judai k ansoo aankhon me rehte hai
kisi ke samne kahan ye to dil mein behte hai
zindagi ka saleqa kahan hai humain ab dugmagate hai qadam
tum ho ZINDGI meri hum to bar bar yehi kehte hai
hai husrat-e-dil k koi bhi pal na teri yaad se gafil
hum soye kahan hai bus jagte rehte hai
itna chale hai ke chal chal k thak gaye hai
sitare to buhat hai par hum tumhain CHAAND kehte hai
tum se judai ke ansoo ankhon me rehte hai
kisi ke samne kahan ye to dil mein behte hai.....!
Subscribe to:
Posts (Atom)