Aayina-e-Khuloos-e-Wafa Choor Ho Gaye



Aayina-e-khuloos-e-wafa choor ho gaye 
jitne chirag-e-noor the benoor ho gaye 

malum ye hua ke wo raaste ka sath tha 
manzil kareb aayi to ham door aa gaye 

manzoor kab thi hamko watan se ye dooriyan
halaat ki jafaon se majboor ho gaye 

kuch aa gayi ham ahl-e-wafa mein tamkanat 
kuch wo bhi apne husn pe magroor ho gaye 

charagon ki aisi inayat hui hafeez 
ke jo zakhm bhar cahle wo masoor ho gaye.....!

Kash Banane Wale Ne Mujhe Kitab Bnaya Hota



kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota.
woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota

main us k gum main rota or rota he jata
os ne chupky se mujhy senay se lgaya hota

os ko dastaan suna suna k thak sa giya
kash us ne bhi mujhy hal-a-dil sunya hota

main us ka naam leta or subho sham leta tha
bad ek yehi afsos hai us ne mujhy 1 bar bolaya hota

main us ki khatr trpta rha sham o sehar kashif 
arman na hota agar us ne 1 anso hi bhaya hota

Ham Bhi Kuch Aisa Kamal Karna Chahte Hai



Ham bhi kuch aisa kamal karna chahte hai
Ham chand ko qareb se dekhna chahte hai

ab ye jaan jaye ya rahe safar-e-mohabbat mein
ham to bas apna wada nibhana chahte hai

suna hai ke maut badi haseen ho jayegi is liye
ham unki baahon mein marna chahtey hai

meri deewangi to dekho ke ek pathar se
ham apna haal-e-dil sunana chahte hai

koi to ho jo roke is waqt-e-tufaan ko
ham ek aashiyaan banana chahte hai

ae dil-e-nadan zara tham ke dharakna sekho
ham us shakhs ko bhulana chahte hai.....!

Apni Zindagi Ki Har Shaam Tere Naam Kardu



Apni zindagi ki har ek shaam tere naam kardu
teri hi aankhon ka jaam tere naam kardu

main doob jaoon teri in jheel si gehri aankhon main
phir apni barbadi ka ilzam tere naam kardu

tu mujhey mohabbat ka agaaz de sanam
main apne pyar ka anjam tere naam kardu

ho jiska zikar mohabbat ki har kahani main
ek aisa pyar ka peghaam tere naam kardu

Kal Chand Se Ye Sawal Kiya



Kal chand se hamne ye sawal kiya

Bata to sahi wo kesa hai ?

To us ne kaha

Kuch meri roshni k jesa hai

Kuch aftaab k jesa hai

Kuch kaliyon si hai muskaan us ki

Kuch khiltey gulaab k jesa hai

Kuch ujaley mein hai jhalak us ki

Kuch raat k shabaab k jesa hai

Agar husan ko main ek sawal kahoon

To us k jawab k jesa hai

Jise dekhoon aur main choo na sakoon

Aisay sundar khwaab k jesa hai

Kehtay hai ishq ibadat hai

To wo us k sawaab k jesa hai.....!

Koi Ghazal Tera Naam Na Ho Jaye




Koi ghazal tere naam na ho jaye
aaj likhtay likhtay sham na ho jaye

kar raha hu intizaar tere izhar-e-mohabbat ka
is intizaar main zindage tamam na ho jaye

nahi leta tera naam sre-e-aam is dar se
kahin tera naam badnam na ho jaye

mangta hu jab bhi dua to yaad ata hai
k judai mera pyaar ka anjam na ho jaye

sochta hu to darta hu aksar tanhai main
us k dil main kisi or ka maqaam na ho jaye....!