kabhi sochta hu ke use neend bhi aati hogi
kabhi sochta hu ke use neend bhi aati hogi
ya meri tarah wo bhi faqat ashk bahati hogi
wo meri shakal mera naam bhulanay wali
apni tasweer se kese aankh milati hogi
is zameen pe bhi hai selaab mere ashkon ka
mere matam ki sada arsh tak ko helati hogi
shaam hote he wo chokhat pe jala kar shamain
apni palkon pe kai khowab sulati hogi
us ne silwa bhi liye honga kale rang ka lebaas
ab moharram ki tarah eid manati hogi
hoti hogi mere bosae ki talab main pagal
jab bhi zulfon main koi phool sajati hogi
mere tarek zamano se nikalnay wali
roshni tujh ko meri yaad dilati hogi
dil ki masoom ragain khud he sulagti hogi
joon hi taswer ka kona wo jalati hogi.....!
nazare milne par aankhein jhukati hai wo
Nazare milne par aankhein jhukati hai wo
apne chehre ko pallu mein chupa ke tadpati
hai wo
wo chand sa chehra nazuk ghulab se lab
ghane julfon ke saye mein ghazab dhate hai wo
us lamhein mein qayamat hoti hai dil pe
hamare
jab kabhi kisi baat pe muskarate hai wo
aisa nahi ki wo nahi janti jazbaat hamare dil
ke
magar nadan ban ke hame bahoot satati hai wo
aankhon hi aankhon mein baat karte ham se
magar zuban se kuch kehne me sharmati hai
wo.....!
Subscribe to:
Posts (Atom)