hothon pe hasi dekh lee dil ka andra nhi dekha
hothon pe hasi dekh lee dil ke andra nhi dekha
yaaro ne mere gam ka samundar nhi dekha
kitni haseen hai duniya ye dekha
haye apne mar mar ke jeenewalo ka manzar nhi dekha
sheeshe ka makaan tumne bana to liya ae dost
lekin waqt ke haath ka pathar nhi dekha
rishto ke tootne ka dard aap kya jaano gaye
wo lamha kabhi aapne jee kar nhi dekha
bhatke roshni ki talaash mein na jaane kaha kaha
afsos ki apni rooh ke andar nhi dekha.....…!
aaj main door hu sabse
aaj main door hu sabse
par sabki yaadon k karib hu
bhula chuka hu main khud ko
par apne saaye k karib hu
jab main tanha tha bhari mehfil main
koi kehne ko bhi na aaya main tere karib hu
aaj jab dukha hai dil tumhara
to phir se fariyaad karte ho
kya main bas tumhaare
zakhmo ka nasib hu
haqeekat main na sahi liken mein tere
khwabon k to karib hu....!
Kuch tum rakh lo ,kuch ham rakh ley
aao bant ley sare dard-o-alam
kuch tum rakh lo
kuch ham rakh ley
ab ponch ley apne ashq
kuch tum rakh lo
kuch ham rakh ley
ham sath rahen or sath chalen
ham sath jiye or sath maren
is rahe wafa pe apne qadam
kuch tum rakh lo
kuch ham rakh ley
mana k dokhon se tum ho bhare
or ham bhi khali hath nhi
ye zulmon sitam tumhain meri qasam
kuch tum rakh lo
kuch ham rakh ley
be-dard zamane walay jo kuch
kehte hai to kehne do
be lofaz tamnnao ka bharam
kuch tum rakh lo
kuch ham rakh ley.....!
badi tadap hai meri iltija k parday mein
badi tadap hai meri iltaja k parday mein
main tum ko maang raha hu dua k pardy mein
us bhi dar hai k kahin ye raaz khull na jaye
likhta hai naam mera wo hina k parday mein
main us k koochy sy guzra to ye mehsoos hua
mujhy pukara hai us ny hawa k pardy mein
is tarah chehry ko zulf mein chupaya us ne
k jaise mano chand chupa ho ghatao k pardy mein....!
hum pagal the jo chand ko pana chala the
Hum pagal the jo chand ko pana chalay the
humein kya khabar thi khud ko rulane chalay the
ab to daman mein bus yaaden hi pari hai
ba-wafa hokar bhi bewafa kehlwane chalay the
humein thukra kar rota to wo bhi hoga
jis se hum sachi muhabbat nibhaney chalay the
ab jo khuwab tootey hai to ye ehsas hua
hum samandar k kinarey par ek mehal bnany chalay the
dil dukhaya hai tum ne par sada khush raho jaana
hum teri rahon mein hamesha phool bichaney chalay the....!
farq sirf itna tha
farq sirf itna tha us ki doli uthi
mera janaza utha
phool us per bhi the
phool mujh per bhi the
mehfil wahan bhi thi
log yahan bhi the
un ka hansna wahan,bhi tha
in ka rona yaha bhi tha
sahelian us ki bhi thi
dost mere bhi the
do qul us k perhey
do qul mere perhey
qazi udher bhi tha
moulvi idher bhi tha
woh saj k gaya
mujhe sajaya gaya
woh uth k gaya
mujhe uthaya gaya
farq sirf itna sa tha usey APNAYA gaya
or mujhe DAFNAYA gaya…....!
Subscribe to:
Posts (Atom)