tun hi kitabon k panno ko palat k sochta hu



yun hi kitabon k panno ko palat k sochta hu
yun hi palat jaye meri bhi zindagi to kya baat ho


khowabon main jo roz miltay hai wo
haqiqat main bhi mil jaye to kya baat ho


kuch matlab k liye dhondte hai mujh ko 
wo bin matlab jo aa jaye to kya baat ho


qatal kar k to sab ley jaye gey dil mera
koi baaton se ley jaye to kya baat ho


jo sharifon ki sharafat main baat na ho
ek sharabi kehe jaye to kya baat ho


apnay rehnay tak to khushi dun sab ko
agar kisi ko meri mout par bhi khushi mil jaye to kya baat ho....!

suno dosto dastaan meri




Suno dosto dastaan meri
kabhi thi dunya aabad meri
mein prem nagar ka wasi tha
or pyar ka itna aadi tha
sans bhi pyar se chalti thi
dharkan bhi geet sunati thi
na jeena  marna ishq k siwa
na chalna phirna ishq bina
jeevan me har su rang hi rang
har pal me jenay ki tarang
phir ek din sapna mera toot gaya
wo des bhi mujhse choot gaya
ab tanha tanha ghomta hun
jenay ka sahara dhondta hun
suno dosto dastaan meri
kabhi thi dunya abad meri

ham nazuk nazuk dil wale bus aise hi to hote hai


hum nazuk nazuk dil wale bus aise hi to hote hai


kabhi hanste hai kabhi rote hai kabhi dil he dil main khuwab pirotey hai
kabhi mehfil mehfil phirtey hia kabhi zaat main tanha hote hai


kabhi chup ki mohr lagate hai kabhi geet labon par latey hia
kabhi sab ka dil behlatey hai kabhi khood main tanha hote hai


kabi shab-bhar jagte rehte hai kabhi lambi taan kar sotey hai
hum nazuk nazuk dil wale bus aise hi to hote hai


kabhi hanste hai kabhi rote hai kabhi dil he dil main khuwab pirotey hai.....!

tumhe koi yaad krta hai



usay koi ye baat samjhao tumhein koi yaad krta hai
kabhi to milne aa jao tumhein koi yaad krta hai


hamare shehar se jab tum gaye they hum ne nhi roka
hamare dil se mat jao tumhein koi yaad krta hai


tumhare naam ki har cheez wahi mojud hai ab tak lekin
kabhi khud bhi chaley aao tumhein koi yaad krta hai....!

dil to cahata hai zindagi ki ek kahani likhon



dil to cahata hai zindagi ki ek kahani likhon
wo kahani main sach ki zubani likhon


apne jazbat ko main samandar likhon
apni sochon ko mojo ki rawani likhon


kabhi dil ki ek khushi ka mahol likhon
ya kabhi gham ko aankhon se behta pani likhon


us k manane ko us ki mohabbat likhon
ya phir apne rooth jane ko apni nadani likhon


apni jaan ko us ki amanat likhon
ya us k naam apni ye zindgani likhon.....!

Musafir hai ham Musafir tum bhi



chand lamhe bache hai tumhare hamare sath ke
mumkin hai ki bichad jaye bina mulaqat ke

kahan aasman ki ye saugat hogi
naye log honge nayi baat hogi

hum har haal mein muskurate rahenge
agar tumhari mohabbat hamare sath hogi

chiragon ko mehfoos rakhenge aankhon mein
badi dur tak andheri raat hogi

musafir hai hum musafir ho tum bhi
phir kahi kisi mod pe mulaqat hogi....!

main usay kaisay akela chor dun is raah main



main usay kaisay akela chor dun is raah main
sath jo chalta raha majburuyn k baad bhi


ban k khushbo rach gya hai yu meray ehsas main
door ho paya nhi wo dooryo k baad bhi


rafta rafta usko bhi dunya raas aa he gai
muskara k wo mila hai ranjishon k baad bhi


faslay kab kam huye hai reshito k baad bhi
ajnabi the ajnabi hai itni gehri dosti k baad bhi...!