roye hai buhat tab ja k zara karaar mila



roye hai buhat tab ja k zara karaar mila
is jahan me kise bhala sacha pyar mila

guzar rahi hai zindagi imtehan ke daur se
ek khatam hua to dusra tayar mila

mere damaan ko khushiyo ka malaal nahi
gham ka khazana jo isko be-shumar mila

woh kam-nasib hai jinhe mehboob mil gaya
ham khush-nasib hai k hamne to unka intezar mila....!

yaad ate hai wo bachpan k din jab tum mujhe khilati thi



yaad ate hai wo bachpan k din jab tum mujhe khilati thi
har bar rone par tum hi to mujhe hasati thi
 
achi neend ke liye naajane kaha kaha se
nayi nayi loria aur kahaniya lati thi
ro padhta hai yeh dil yad karke woh din
jab haatho se apne khana khilati thi
 
teri ungli tham k maine chalna sikha
teri hi aankho se ye sara jhaha dekha.
aaj feer tumhare god me sone ko dil kar raha hai
tumhare hatho se khane ko dil kar raha hai

Yaad aa gaye woh sunhere din
dil aaj bhi us waqt mein jane ko bekrar hai
bas ab yadein hi reh gyi yaad karne ko
bachpan lot ke to aa nhi sakta

tujhe kitna chata hu MAA
tujhe kabhi ye batla hi nhi sajkta
meri har saans tera ehsan hai
jab chahe ise le lena
chod ke na jana kabhi chahe
meri sanse bhi mujhse le lena.....!

Aaj saqi sharaab rehney do

 
Aaj saqi sharaab rehney do
tishnagi k azaab rehney do

poonch daalo na aankho se kajal
kuch to khanjar pe aadab rehney do

tum sanwaro na apni zulfon ko
  hamari halat kharaab rehney do

chaand badal mein acha lagta hai
apne rukh pe naqaab rehney do

un k chehrey ki baat ho jaey aaj to
aaj zikr-e-gulaab rehney do

un ke chehrey ko choom lo kashif
baqi saray sawaab rehney do....!