Khwaabon Ka Ek Jahaan Mujhe De Gaya Koi



Khwaabon ka ek jahaan mujhe de gaya koi
mitti ka ek makaan mujhe de gaya koi

wo dil mein rehe gaya hai ya k dil de utar gaya
kitna ajab gumaan mujhe de gaya koi

sehra pe apnay ghar ka pata likh gaya tha wo
mitta howa nishaan mujhe de gaya koi

maah-o-najoom noch ke soraj bujha diya
phir sara asmaan mujhe de gaya koi

kishti mein chaid osne kia aur oske baad
kaaghaz ka baadbaan mujhe de gaya koi
osne gulaab haath mein le kar kaha batool
khushbu ka tarjumaan mujhe de gaya koi

Kabhi Khud Pe Kabhi Halat Pe Rona Aaya



Kabhi khud pe kabhi halat pe rona aaya
baat nikli to har ek baat pe rona aaya

hum to samje the k hum bhol gaye hai un ko
kya huva aaj ye kis baat pe rona aaya

kis liye jeete hai hum kis k liye marte hai
baarha aise sawalaat pe rona aaya

kon rota hai kisi aur ki khatir ae dost
sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya

kabhi khud pe kabhi halat pe rona aaya
baat nikli to har ek baat pe rona aaya

Jise Bhulaye Kai Saal Ho Gaye



Main hosh mein tha to phir Uss pe mar gaya kaise
Ye zehar mere lahoo mein utter gaya kaise
Kuch uss k dil mein lagawat zaroor thi warna
Woh mera haath daba kar guzar gaya kaise
zaroor uss ki tawajo ki rehbari ho gi
Nashe mein tha to main apne hi ghar gaya kaise
Jise bhulaye kai saal ho gaye Kamil
Main aaj uss ki Gali se guzar gaya kaise

Mujhe Maaf Kardena



agar mein hadh se guzar jaon to mujhe maaf kardena
tere dil mein utar jaaon to mujhe maaf kardena
yun hi ghusey mein aakar dant dena to meri adat hai
agar aesa main kar jaaon to mujhe maaf kardena
raste mein tujhe dekh kar teri deed ki khatir
pal bhar jo theher jaaon to mujhe maaf kardena
teri pal bhar ki bhi judai mujhe jeeney nhi deti
tere bin jo mar jaaon to mujhe maaf kardena

Tujhe Cahane Ki khata Nhi Karta


main lafzon main kuch nhi ketha

is ka matlab ye nhi k main tujh se pyar nhi karta



chahta hoon tujhe aaj bhi phir teri soch main

apna waqt barbaad nhi karta



tamasha na baan jaye muhabbat meri

is liye apne dard ko namudar nhi karta


jo kuch mila hai isi me khush hoon

tere liye KHUDA se takarar nhi karta



par kuch to baat hai teri fitrat main aye zalim

warna tujhe chahne ki khata main bar bar nhi karta

Ansoo Aankhon Mein Rehte Hai


Tum se Judai ke ansoo aankhon me rehte hai
Kisi ke samne kahan ye to dil mein behte hai
zindagi ka saleqa kahan hai hamain ab dugmagate hai qadam
tum ho zindagi meri hum to bar bar yehi kehte hai
hai husrat-e-dil ki koi bhi pal na teri yaad se gafil
ham soye kahan hai bus jagte rehte hai
itna chale hai ke chal chal k thak gaye hai
sitare to buhat hai per hum tumhain chaand kehte hai
tum se judai k ansoo aankhon me rehte hai
kisi ke samne kahan ye to dil mein behte hai

Meri Aankhon Main Ansu Aaye Na Hote



Meri aankhon main Ansu aaye na hote
Wo hamein dekh kar muskuraye na hote
Sochta hun aksar main tanhai may main
Meri zindagi main kash wo aai na hote
Na tarapte ham unke liye itna
Dil ne khawab unke sajaye na hote
Na toot kar bikharta main is kadar
Kash wo mere dil main apna ghaar banaye na hote....!

Meri Khwahishen


Khawahishon k angan mein raat din baseray thy
Titliyan tumhari thi to phool mere thy
Chand asmanon se jab zameen pe utra tha
Daikhnay mein raatain thi asal mein saweray thy
Tere pass basnay ki khai thi kasam leikin
Shehar bhi praya tha loog bhi luteray thy
Lut gaye ham dono to qasoor kis ka hai
Khawahishen bhi teri thien faislay bhi tere thy

Apni Ankho Me Chupa Lo Mujh ko



Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mujh Ko
Mohabat Agr Krty Ho To Chura Lo Mujh Ko

Khony Ka Agr Khaof Hai To
Dil Ki Har Dharkan Me Basa Lo Mujh Ko

Dhoop Ho Ya Sehra Ho Tere Sath Chalain Gay
Yaqeen Na Aaye To Aazma Lo Mujh Ko

Tere Dukh Ko Seh Lain Gay Hans Kar
Apny Badan Ki Chadar Bna LO Mujh Ko

Sahil Se Pehle Chor To Na Do Gay
Abhi Aghaaz-e-Safar Me Bta Do Mujh Ko

Zindgi Bhi Tere Nam Kar De Gay
Apny Bazoan Mein Chupa Lo Mujh Ko

Kal Halki Halki Barish Thi



Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha
Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pe lakhon pahray thay
Kuch tukray aap ki yaad k
Bari dair se dil main thehray thay
Kal yaadain uljhi uljhi thi
Aur kal tak ye na suljhi thi
Kal yaad bohut tum aye thay
Kal yaad bohut tum aye thay....!

Wo Tera Naam Tha




Jis ki jhankar main dil ka aaram tha wo tera naam tha
meray honton pe aksar jo naam tha wo tera naam tha


tohmatain mujh pe lagti rahi hai kai ek se ek nai
khoobsurat mager ko ek elzaam tha wo tera naam tha


dost jitnay thay na aashana ho gay  parsa ho gay
saath meray jo ruswa sir-e-aam tha wo tera naam tha


subah se shaam tak jo meray pass thi  wo teri aas thi
shaam k baad jo kuch lab-e-baam tha wo tera naam tha


mujh pe qismat rahi hamesha meharban day dia sara jahan
per jo sab say bara ek inaam tha wo tera naam tha

Rona Aa Hi Jata Hai




Zamana jab rulata hai to rona aa hi jata hai
Koi jab apna satata hai to rona aa hi jata hai

Khudaya teri dunya mein koi husan-e-mujasm jab
Kisi ka dil dukhata hai to rona aa hi jata hai

Main dekhon jab parwane ko wafa ki chah mein akhir
Ye apni jaan lutata hai to rona aa hi jata hai

Muqadar khud bulatay hai magar dastor-e-ulfat hai,
Koi jab door jata hai to rona aa hi jata hai

Ye aansoo rukte hai magar aksar gamon ki tamana la kar
Zabt jab toot jata hai to rona aa hi jata hai

musafir is zindagi ki tanha raton mein muje aksar
Koi jab yaad aata hai to rona aa hi jata hai....!

Aankh Se Aankh Mila




aankh se aankh mila baat banata kyun hai
tu agar mujhse khafa hai to chupata kyun hai

ghair lagta hai na apno ki tarah milta hai
tu zamane ki tarah mujhko satata kyun hai

waqt ke sath haalat badal jate hai
ye haqeqat hai magar mujhko sunata kyun hai

ek muddat se jaha qaafile guzre hi nhi
aisi raaho pe chiraaghon ko jalaata kyun hai...!

Teri Tasver Thi Jo Tujhse Chupa Li Hamne




hamse mat pooch ki kyun aankh jhuka li hamne
teri tasveer thi jo tujhse chupa li hamne

jis pe likha tha ki tu hamre muqaddar mein nhi
apne maathe ki woh tehreer mita li hamne

har janm sabko yahan sachha pyaar kahan milta hai
teri chaahat mein to umr bita li hamne

hamko jaane kahan ehsaas hamara le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li hamne

ghere rehti hai hame ek anokhi khushbu
teri yaadon se har ek saans saja li hamne

jiske sheron ko woh sunke bahut roya the
bas wohi ek ghazal sabse chupa li hamne......!

Kisi Roz Sham K Waqt




Kisi roz sham k waqt


suraj k aram k waqt


mil jaye sath tera


hath me le kar hath tera


door kahi tanhai me


duniya se judai me


apne sung bithaon tuje


dil ka haal sunao tuje


teri izzat ehtram karon


tere hath ki lakiron me


talash apna naam karon


usi waqt irada kren


phir milne ka wada kren


kisi roz sham k waqt


suraj k aram k waqt…...!

Sham K Bad





Tum aao meray aangan mein zara sham k bad
mil k mangen gay mohabat ki dua sham k bad

jin ki taqdeer mein khawab nhi neend nhi
aur letay hai sitaron ki rida sham k bad

aao mil baith k kuch waqt guzaren jaana
main sunaon tujhy tu apni suna sham k bad

tum mujhy chor gaye sham se pehle pehle
ye na poocho mera kya haal hua sham k bad

tum yahan thay to her ek sham saji rehti thi
ab to lagta hai sham hoti nhi sham k bad....!

kis haal mein hai us k chahney waley






ham ne to us se shikayat kabhi na ki
aisa nhi k dil ne bagawat kabhi na ki


kis haal mein hai us k chahney waley
usney ye puchney ki zehmat kabhi na ki


chaha hai main jisko bari shiddaton k saath
es tarha usney mujh se mohabbat kabhi na ki


har baat uski humne badi ghor se suni
lekin bayan apni himayat kabhi na ki


ek aag thi ke jis mein jaltey rahey umar bhar
ek dard tha k jis mein khayanat kabhi na ki....!