rukhsaar aesa jese tim'timaatey hai janab ke


rukhsaar aesa jese tim'timaatey hai janab ke
pehne hon ho jese chand ne ghngru gulaab ke

lekha hai tumhara naam bhi chahat ke khoon se 
aao warq dikhaye tumhe ham dil ki kitaab ke

itni pilaa de aaj ke ji bhar ke royen ham 
niklen hamari aankhon se aansu bhi sharaab ke

utraa woj is tarha se samandar ki goad me 
jitne bhanwar they so gaye ho pehlu me aap ke

didaar-e-yaar bhala kese ho aaj kal 
pehrey hai chaand se chehre pe naqaab ke

mil kar tamaam raat woh phir bhi na mili 
sawera bataa gaya k yeh dhokay they khaawb ke....!

ham bohat door nikal aye hai yu hi chalte chalye


ham bohat door nikal aye hai yu hi chalte chalye
ab theher jayen kahin shaam ke dhalte dhalte

ab gham-e-zeest se ghadraa ke kahan jayen ge ham
hamari to umar hi guzri hai is aag mein jalte jalte

raat ke baad sehar ho gi magar kis ke liye
ham hi shayed na rahen is raat ke dhalte dhalte 

roshni kam thi magar itna andhera to na tha
shama-e-umeed bhi gull ho gayi ab to jalte jalte

tooti deewar ka saaya bhi bohat hota hai 
paano jjal jayen agar dhoop mein chalte chalte

din abhi baaki hai kashif zara tez chalo 
kuch na soojhay ga tumhe sham ke dhalte dhalte ...!