Meri nazar mein rahti hai ek khwab si LADKI




Meri nazar mein rahti hai ek khwab si LADKI
jai se saans leti hui mehtaab si LADKI

main us se faasla na rakhta to or kya karta
main hawaon sa paagal or wo chiragh si LADKI

use suna nhi mehsos kiya hai main ne
har ek shabd pe chup hai woh kitaab si LADKI

darmiyaan mein hamare hazaron hijaab hai lekin
phir bhi zahir hai mujh pe wo naqaab si LADKI

uske samne mein be-zubaan sa rah jata hun
kai sawal liye wo jawaab si LADKI

meri MAA labo par uske kabhi badua nhi hoti


labo par uske kabhi badua nhi hoti
bas ek MAA hai jo kabhi khafa nhi hoti

is tarah mere galtiyo ko wo dho deti hai
MAA bahut gusse mein hoti hai to bas ro deti hai

Maine rote hue ponche the kisi din aansoo MAA ke
muddaton MAA ne nhi dhoya dupata apna

abhi zinda hai maa meri mujhe kuch bhi nhi hoga
main jab ghar se nikalta hu dua bhi saath chalti hai

jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
MAA dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya
MAA ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya

 meri khwahish hai ki main phir se farishta ho jaun
MAA se is taraha liptun k phir se bachcha ho jaun

'Kashif' MAA k aage yun kabhi khul kar nhi rona
jahan buniyaad ho waha itni nami achi nhi hoti.....!

Meri ammi ko bula de koi


Meri ammi ko bula de koi
warna mujhko hi sula de koi

mujhko bistar ki to aadat hi nhi
apni godi mein jhula de koi

shayad aa jaayen wo mera rona sunkar
mujhko bewajah hi rulaa de koi

mainey kaye roz se nhi khaya hai kahna
uss mohabbat se khilaa de koi

mujhko khwaahish nhi k mile duniya
mujhko mari ammi se milaa de koi ....!

Meray aas pass rehna




Meray aas pass rehna
mujhe chor kar na jana

Mujhe dar lgta hai

Shehar ki tanhaion se
Jawani ki ruswaion se

Muhabbat ki judaion se
Mann ki bewafaion se

Mujhe dar lagta hai

Her udas sham se
wafa k ilzam se
Apne hi naam se

Mere aas pass rehna
Mujhe chor kar na jana
Mujhe dar lagta hai

Waqt ki chaal se
Bicharnay ke khayal se

halaat ke jaal se
apnay hi ik sawal se

mere ass pass rehna
Mujhe chor kar na jana
Mujhe dar lagta hai 

Masroof hai din raat usay waqt kahan hai




Masroof hai din raat usay waqt kahan hai
woh mujhse karay baat usay waqt kahan hai

betaabii-e-dil ka usay andaaza nhi hai
samjhe mere jazbaat usay waqt kahan hai

woh ponchhay meri aankh se behte huw aanso o ko 
ae rang-e-barsaat usay waqt kahan hai

bhoolay se hi pochnay aajaye mera haal
ae gardish-e-haalaat usay waqt kahan hai

mojon mein tarapta huwa main doob raha hoon
thaame wo mera haath usay waqt kahan hai

mujhe apni AANKHO par pyar ata hai





mujhe apni AANKHO par pyar ata hai
jab tum inme dekhti hua dil me utar jati ho

mujhe apni BAATO par pyar ata hai
jab tum inhe sunte hua dhere se muskurati ho

mujhe apne HONTHO par pyar ata hai
jab tum inhe chhute hua sanso me ghul jati ho

mujhe apne DIL par pyar ata hai
jab tum dil se dil ke taar jodte chale jati ho

mujhe apne HAATO par pyar ata hai
jab tum inhe thaame hue manzil par badte jate ho 

Kisi sabab se magar bolta nhi hu main





Kisi sabab se magar bolta nhi hu main
to yu nhi ke tujhey sochta nhi hu main

main tum ko khud se juda kar ke kis tarah daikhu
ke main bhi tum ho koi dusra nhi hu main

mairey badan ki har deewar mein anaa rakhi hai
main khud bana hu banaya huwa nhi hu main

mairey wajood ke andar mujhey talaash na kar
ke is makaan mein aksar raha nhi hu main

main ek umar se khud ko talashta hu magar
mujhey yaqeen nhi hu bhi ya nhi hu main

khuda ek pal usay mera bana de




khuda ek pal usay mera bana de
itna chahta hu usay koi bata de

bohat naaz hai mujhe apni mohabbat par
ho jaye wo meri aisa koi mojza dekha de

agar wo mera naseeb ban nhi sakti to 
uske kadmon ki khak mujhe bana de

her pal dehkon sapnay usi ke
na jagon mujhe aisi neend sula de

you ghut ghut kar nhi jena chahta
ya wo mujhe mil jaye ya mujhe mita de