kash tu mujh ko mil gayi hoti
zindagi bhi rukh badal gayi hoti
kash tu mujh ko mil gayi hoti
zindagi ko galey laga leta main
har tamana pighal gayi hoti
kash tu mujh ko mil gayi hoti
khawab palkon pe mein sajaa leta
tujh ko seene se mein laga leta
apne dil mein tujhe basaa leta
meri kismat bhi badal gayi hoti
kash tu mujh ko mil gayi hoti
aahh nikle gi hont se ti hont si loon ga
jis tarah ho sake ga jee lon ga
zeher bhi hanste hanste pee loon ga
gham ki ye dhoop dhal gayi hoti
kash tu mujh ko mil gayi hoti
ab tere gham ko dil mein paloon ga
haa judai ka zakham kha loon ga
maut ko bhi galey laga loon ga
maut bhi aa ke tal gayi hoti
kash tu mujh ko mil gayi hoti.....!
na koi subha na koi sham deti ho
na koi subha na koi sham deti ho
dil dharakne ko mohabbat ka naam deti ho
roz chale ati ho khuwabo main mere
in ankhoon ko na ek pal araam deti ho
tum na pucho gay kabhi haal-e-dil mera
or ghairo ko har roz salam deti ho
hum ne yaad rakha isliye mujrim ho gaye tumhare
shayad bhool jane walo ko tum inam deti ho.....!
meri yadoon ne use khub rulaya to hoga
meri yadoon ne use khub rulaya to hoga
baat be-baat aankh us ki jo chalki hogi
us ne chaihray ko apne bazuoon main bhi chupaya to hoga
soocha hoga us ne din hi dil main kai baar us ne mujhy
naam hathele par bhi likh likh k mitaya to hoga
jaha us ne mera ziker suna hoga kisi se
us ki aankhoon main ek aansoo to aya hoga
raat k bhegnay tak neend na aye hogi usey bhi
to usne takeye ko bh senay se lagaya to hoga
ho k b-haal mere yadoon se us ne
mere tasveer pe sar apna tikaya to hoga
poocha hoga jo kisi ne uski halat ka sabab
to us ne batoon batoon main khub us se chupaya to hoga.....!
nhi hai teri misal jaana
nhi hai teri misal jaana
dabi dabi si wo muskarahat
labon pe apnay saja saja k
wo naram lehjay main baat karna
ada se nazrain jhuka jhuka k
wo aankh teri shararti si
wo zulf mathay pe nachti si
nazar hatay na ek pal bhi
main thak gya hu hata hata k
wo teray hathon ki ungliyon ko
milla kya zulfon main kho sa jana
haya ko chehray pay phir sajana
phool chehra khila khila k
wo hath hooroun k ghar ho jaisay
wo paon pariyoun k par ho jaisay
nhi hai teri misal jaana
main thak thak gya ho bata bata k....!
pal bhar ki mulaqaat ne dil tod diya
pal bhar ki mulaqaat ne dil tod diya
bus choti si ek baat ne dil tod diya
ab sheher mein ho kar bhi wo hum se nhi milte
badlay huwe halaat ne dil tod diya
kuch duniya ki baaton ne sukoon loot liya tha
kuch us k khayalaat ne dil tod diya
kis kis ko main har baat ki tafseel bataaoon
logon k sawalaat ne dil tod diya.....!
Subscribe to:
Posts (Atom)