raaz-e-dil aam kar gaye aansu
raaz-e-dil aam kar gaye aansu
gham ko badnaam kar gaye aansu
aaj usne bhi mera haal puchh liya
aaj to kya kamal kar gaye aansu
ham kisi ke na the magar hamko
aap ke naam kar gaye aansu
har kisi ne lagaya daam
gam ko bhi nilaam kar gaye aansu
dhund si chha gayi hai aankhon mein
har taraf shaam si kar gaye aansu.....!
roye hai bohat tab ja kar zara kahi aaram mila
roye hai bohat tab ja kar zara kahi aaram mila
is jahan mein kise bhala sacha pyar mila
guzar rahi hai zindagi imtehan ke daur se
ek khatam hua to dusra tayar mila
mere damaan ko khushiyo ka nhi malaal
gham ka khazana jo mujko beshumar mila
wo kam nasib hai jinhe meheboob mil gaya
mein khush nasib hun k mujhe umer bhar ka intezar mila
koi Gazal suna kar kya karna
koi gazal suna kar kya karna
yu baat badha kar kya karna
tum meri thi tum meri ho
duniya ko bata kar kya karna
tum ehad nibhao chahat se koi rasm nibha kar kya karna
tum to khafa bhi achi lagti ho
phir tum ko manaa kar kya karna
tere daar pe aa k bethay hai
ab apne ghar bhi ja kar kya karna
din teri yaad se acha guzray ga, phir tum ko bhula kar kya karna.......!
NARAZ MAT HONA
gilay shikwa chahe bohat karna
rulana bhi or bohat larna
suno naraz mat hona
kabhi aisa jo ho jaye
ke tumhari yaad se ghafil
kisi lamhay jo ho jaon
bina dekhe tumhari surat
kisi sham mein jo so jaon
to sapno main chaly aana
mujhey ehsas dila jana
MAGAR SUNO HUM SE NARAZ MAT HONA
kabhi aisa jo ho jaye
jinhe kehna zaroori ho
wo mujh se lafz kho jaye
aan ko beech me mat lana
meri awaz ban jana
MAGAR KABHI NARAZ MAT HONA .....!
mohabbat na rahe to phir raha kuch bhi nhi kerta
mohabbat na rahe to phir raha kuch bhi nhi kerta
itni taiz aandhi main bacha kuch bhi nhi kerta
wo mujh ko yaad rakhna ab gawara hi nhi kerta
ek main hu jo us ko yaad rakhne k siwa kuch bhi nhi kerta
kaha tha tujh se nadaan k zulm ki taiz baarish main
kachy makano k siwa gira kuch bhi nhi kerta....!
Wo Roya Bohat Dino
wo roya to bohat dino
magar mujh se muh mor k roya bohat dino
koi majburi hogi
jo dil tor k roya bohat dino
mere samne kar diye meri tasveer k tukrey
pata laga mere pichey wo unko jod k roya bohat dino
jo muskraya tha meri maut ki khabar sun kar
laash dekh kar meri wo jaan tor k roya bohat dino
hua jab usey ehsaas apni sangeen ghalti ka
suna hai KASHIF
qabar par meri wo hath jod kar roya bohat dino....!
na jane kyu aaj bhi ye ehsas hota hai
na jane kyu aaj bhi ye ehsas hota hai
tu sath nhi phir bhi aas paas hota hai
jo dil-e-sheher ek baar barbaad ho jaye
mudat-to k baad wo phir se abaad hota hai
kabhi yu bhi hota hai ke jise apna samjha jaye
waqt aaney per wo shakhs hi paraya hota hai
tu chala jata hai jab bhi chor kar hume
dil ke kisi koney me, tu kahin bsaa hota hai
badal ko samajhne ke liye zarourat nhi hai hawalon ki
bas ek lafz -e-Mohabbat hi kafi hota hai
aankhon se behte huye samandar ko pani na samajna
yaad karte hue tujhe meri aankhon mein lahu hota hai
lot'te nhii hai dobara jo ek baar chale jate hai
magar phir bhi duayon ki umed mein to hi aas hota hai
tere siwa mere kano ko koi or sada pasand nhi ati
bas ek tu hi meri dharkan ki awaz hota hai
bhat'tak sa jata hu mein jab bhi ghamon ke saye mein
dilasey ke liye mere pass teri yaad ka jugnu hota hai
hamare naseeb mein kahan hai tumse milna
hamare liye to khawb ka jahan hi haqeqat hota hai
raat kitni hi gehri kyu na ho jaye kashif
ek na ek din sawera zaroor hota hai.....!
sir jhukany ki aadat nhi hai
sir jhukany ki aadat nhi hai
aansoo bahaany ki aadat nhi hai
hum kho gaye to pachtao gay bohat
hamaari lout k aany ki aadat nhi hai
terey dar pe muhabbat k sawali ban jaate
lekin hamko haath phelaany ki aadat nhi hai
teri yaaden aziz hai bohat
magar hamko waqt ganwane ki aadat nhi hai
tum skht dil nikle kya gila kren hum tum se
hamko shikwa -e-dil lab par lane ki aadat nhi hai
baddua bhi kya kre HAQ meni tumhare
hamko to dil bhi dukhany ki aadat nhi hai
Judai Ka Andesha Juda Hone Se Pehle He Tha
Judai ka andesha juda hone se pehle he tha
wo mujhe se intehai khush , khafa hone se pehle ka tha
junon ka doar guzra to mujhe bhi bhoola betha wo
namaz-e-ishq tha lekin qaza hone se pehle ka tha
main kese soch sakta tha mujhe wo chor jayega
bohat hi ba wafa wo bewafa hone se pehle hi tha
Baat Din Ki Nhi Ab To Raat Se Bhi Dar Lagta Hai
Baat din ki nhi ab to raat se bhi dar lagta hai
ghar hai mera kacha sa ab to barsaat se bhi dar lagta hai
tere tohfay ne to bas khoon ke aansoo hi diye hai
e-zindagi ab to teri saughaat se bhi dar lagta hai
pyar ko chor kar tum or koi baat karo
ab to hame pyar ki har baat se bhi dar lagta hai
hamari khatir kahein na wo bandnaam ho jaein kashif
is liye ab to un ki mulaqaat se bhi dar lagta hai
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nhi
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nhi
zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nhi
mein teri zindagi-e-naaz mein kya paish karu
meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nhi
aey khuda mujh se na lay mere gunahon ka hisab
mere paas ashk-e-nidamad k siwa kuch bhi nhi
woh to mit kar mujhey mil hi gayi rahat warna
zindagi ranj-o-musibat k siwa kuch bhi nhi
Tumhara Naam Likh Likh Kar Mitana Bhool Jata Hu
Tumhara naam likh likh kar mitana bhool jata hu
tumhein jab yaad karta hu bhulana bhool jata hu
bohat si aisi baatein hai jo mere dil main rehti hai
magar jab tum se milta hu sunana bhool jata hu
tumhare baad ab har pal bari mushkil se kat-ta hai
mai aksar tum ko khuwabon main basana bhool jata hu
main har shaam kehta hu tum ko bhool jaoonga
magar jab subah hoti hai main apna iraada bhool jata hu.....!
Ek Khuwahish Serhane Rakh Do Na
Ek khuwahish serhane rakh do na
aaj mujh pe tum inayat kar do na
zara chupke se khamoshi se
tum izhar-e-mohabbat kar do na
khud ko kar k deewana sa
mera pyar tum amar kar do na
main pyaas meni dooba sehra hu
tum mujh ko samandar kar do na
main yu hi phirta hu dar-badar
tum khud ko meri manzil kar do na....!
Subscribe to:
Posts (Atom)