Ye raat ye tanhai




ye raat ye tanhai
ye dil ki dharakno ki awaz
ye sannata

ye dubte taron ki
khamosh gazal ki hawain
ye waqt ki palkon par
soti hui wirani

jazbat-e-muhabbat ki
ye akhri angrai
bajti hui har janib
ye maut ki shahnai

sab tum ko bulate hain
pal bhar ko tum a jao
band hoti meri ankhon main
muhabbat ka
ik Khwab saja jao

Ye dil tum se pyar karna chahta hai



Ye dil tum se pyar karna chahta hai
apni mohabbat ka iqrar karna chahta hai

jab se dekha hai tum ko ae sanam
bas tumhara hi dedar karna chahta hai

logon se sunte the mohabbat ke afsane
khuwab hum ne bhi dekhe the suhane

pyar kya hai ? hum aksar sochte the
is baat se hum apne dil ko rokte the

lekin ab tumhain is dil main basa ker
ye khata ek baar karna chahta hai

ye dil tum se pyar karna chahta hai
apni mohabbat ka izhaar karna chahta hai

YAADON ko bhulane main kuch dair to lagti hai






Yaadon ko bhulane main kuch dair to lagti hai
Ankhon ko sulany main kuch dair to lagti hai

Kisi shakhs ko bhula dena itna asan nhi hota
Dil ko samjhany main kuch dair to lagti hai

Bhari mhafil main jab koi achanak yaad aa jay
Phir aanso chupany main kuch dair to lagti hai

Jo shakhs jaan se bhi pyara ho achanak door ho jay
Dil ko yaqeen dilany main kuch dair to lagti hai

Main ne maazi ko bhulane ke qasam khai hai




Main ne maazi ko bhulane ki qasam khai hai.
koi aansu na bahane ki qasam khai hai

koi apna ho maseeha ho ya k anjana ho
dil kisi se na lagane ki qasam khai hai

khana-e-dil ki har ek cheez hai reza reza
ab koi ghar na sajane ki qasam khai hai

main ne barson badi mehnat se tarasha tha jise
uska har aaks mitane ki qasam khai hai