dard hua to dil se awaz aye MAA
Takleef hue to yaad teri aye MA
Jab Sab ne chor diya mutlabi bewafa kahe ke
phir hame tumhare achal ki yaad ayi MAA
ham kitne bad naseeb hai
logo se piyaar maanga hamne mile hame sirf tanhai
tum ne bin maange kitna piyaar diya
aur ham teri hi kadar na kar sake MAA
bad gumani mein har ek ko hamne seene se lagaya
ye hamari bad naseebi to dheko
bus tumko hi apne galey se na laagaya MAA
duniya ki ranginyon mein kohya raha
bus ek tujh hi ko bhool ke sab ke pecha bhagta raha
teri tanhaiyon mein ek pal bhi tere saath na raha
hamari bad naseeb teri maafi ka kabil bhi na raha
jab hosh mein aya to maloom hua ke
koi apna nehi bus tere siwa MAA
tumhari goad main sar rakh ke ro ro
ke mout-e-faryad ki dua ki
MAA na rote rote apni zindagi ki
apni khushiya bhi hamari naam ki
hamne kitne dhuk diye
aur tumne uff tak na ki MAA
tumne kabhi na saath chora
na kabhi kuch kaha hamne tumne MAA
ab bus ek khwab hai zindagi ka
beshak kuch mile na mile
ham kuch bane ya na bane
bus ye ek arman hai zindagi ka
ham ek dafa tumhari goad main sar rakh so saku MAA
woh sakoon-e-neend pana chahta hoon MAA
bohat dard ho raha hai MAA
apne hathon se mere zakham-e-dard ko mita do MAA
O MAA MERI MAA .......!