unse kaho ke milne ki ab dua na kare

unse kaho ke milne ki ab dua na kare
guzar gaye hai jo lamhe unhe haraa na kare

hamain bhi khawb ke sehra me ab nahi rehna
unse kaho ke khawbon se ab wafa na kare

unse kaho agar milay to khuloos o wafa oo k sath
wo darmeyan me koi masla khada na kare

dilon ke dard hamesha hi rastey rehte hai
magar ye dukh ke kabhi ankh inka haq adaa na kare

Khuda gawah hai k unhai dekh kar hi jee rahe hai ham
jo samney to rahe hai magar kabhi gilaa na kare

ham apne naam se hi roshan rahe gay dunya me
unse kaho hamari jaanib kabhi koi diyaa na kare.....!

aao kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hai

aao kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hai
kashif ab to zara lehja badal ke dekhte hai

judaeyaan to muqaddar hai phir bhi aye jaan-e-safar
kuch aur door zara saath chal ke dekhte hai

tu samnay hai to phir kyon yaqeen aata nahi hamain
ye baar baar kyon ham aankhen mall mall ke dekhte hai

ye kaun log hai moujood tumhari mehfil mein
jo lalichoon se tumhe hamain ko jall ke dekhte hai
 
na tum ko maat huyi hai na ham ko maat huyi 
suno ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hai

ye kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay
samundaroon ki tahon se ucchal ke dekhte hai

abhi talak to na kundan huye na raakh huye
ham apni aag mein har roz jal ke dekhte hai

bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar
chalo kashif  aaj qabar chal ke dekhte hai........!

hamein koi gam na tha gam-e-mohabbat se pehle

hamein koi gam na tha gam-e-mohabbat se pehle
na thi dushmani kisi se tumhari dosti se pahle

hai ye hamari badnaseebi is me tumhara kasoor kya hai 
tumhare gam ne maar dala hamein to zindagi  se pehle

mera mehboob jal raha hai aey chaand aaj zara haat jaa
kabhi hamein bhi ki thi mohabbat teri chandni se pehle

ham kabhi na muskuraye hote jo hamine ye ilm hota
k hazaron gam milenge hamein ek khushi se pehle

ye ajeeb imtehaan hoga k tum hi ko bulana hai
mile hi kab the is tarha  ham tumhe de-dili se pehle

hamein koi gam na tha gam-e-mohabbat se pehle
na thi dushmani kisi se tumhari dosti se pehle....!