apni aankho ke samandar mein utar jaane de
apni aankho ke samandar mein utar jaane de
tera mujrim hu me mujhe doob k mar jaane de
aye mere dost main samjunga tujhe bhi apna
pehle maazi k kuch zakhm to bhar jaane de
aag duniya ki lagaye hui bujh jayegi
koi aansoo mere daaman pe bikhar jaane de
zakhm kitne teri chahat se mile hai mujhko
sochta hu ki kahe du tujhse magar phir sochta jaane de
apni aankho ke samandar mein utar jaane de
tera mujrim hu me mujhe doob k mar jaane de....!
didi kahti hai us pagli ladki ki kuch aukaat nhi
didi kaheti hai us pagli ladki ki kuch aukaat nhi
uske dil ke tere jese pyare jazbaat nhi
wo pagli ladki ek ek din mere liye bhukhi rahate hai
chup chup sare roze bhi karti hai magar mujh se kuch na kahete hai
jo pagli lagki kaheti hai haa pyar tujhi se karti hu
liken me hu majbur bhut apne mata pitaah se darti hu.....!
meri taqdeer se poch meri qismat ki kahani
meri taqdeer se poch meri qismat ki kahani
meri muskrahat pe na ja mera dard talash kar
meri aankhon se poch mere intizar ki had
imtehan pe na ja mera sabar talash kar
mere doston se poch meri dosti ka aalam
meri soorat pe na ja meri seerat talash kar
jo mil jaye tujh ko meri baato ka jawab
to phir tu mujhay aapne aap mein talash kar.....!
ham ne aaj kuch sach bolne ki himmat ki hai
hum ne aaj kuch sach bolne ki himat ki hai
koi jadoo nhi! hum ne tum se mohabbat ki hai
wo ek lamha bhi jo teri yaad k bina guzra
us pal mein hum ne khud se bhi nafrat ki hai
har shakhs milta hai aakar humse khuloosiyat k sath
baat meri shohrat ki nhi baat to tumhari sangat ki hai
tum se pahle koi bhi na aa saka wahan
dost jis dil pe aaj tum ne hukumat ki hai
ye mere dil ka dard kam kyu nhi hota
aye dil hum ne kya dukhon se ulfat ki hai
saza milegi tum ko bhi is faisle ke baad
mere zamer ne sach bolne ki jo jurrat ki hai
kya karon woh to pyar ka matlab bhi nhi jante
aye dil-e-nadan tu ne bhi kis shakhs se mohabbat ki hai.....!
aisi ankhain nhi dekhin
aisi ankhain nhi dekhin
aisa kajal nhi dekha
aisa jalwa nhi dekha
aisa chehra nhi dekha
us ke kangan ka khanakna
jese bulbul ka chehekna
us ki payal ki cham cham
jese barsat ka mausam
aisa sawan nhi dekha
aisi barish nhi dekhi
methi koyal si hai boli
jese geton ki rangoli
surkh gaalon pe pasena
jese sawan ka mahina
aisi aankhain nhi dekhin
aisa kajal nhi dekha
ham ne us ke jesa koi duja nhi dekha ....!
Katon si chubhti hai tanhai
katon si chubhti hai tanhai
angaron si sulagti hai tanhai
koi aa kar hum dono ko hansa de
main rota hu to rone lagti hai tanhai
jab bhi tere asar se nikalna chaha
yaadon k beej bone lagti hai tanhai
raat k kisi hise main ye bhi bewafa ho jati hai
main nhi sota sone lagti hai tanhai
tum se judaa ho kar is se hi dil laga lia hai mein ne
mar sa jata hu jab khone lagti hai tanhai........!
Subscribe to:
Posts (Atom)