ameer-e-shehr kabhi bhi sar neecha nhi karte
ana ka hum kisi bhi haal mein sauda nhi karte
agar ghum hud se badh jaye toh aansoo aa hi jate hai
magar hum apne aankhon ko kabhi darya nhi karte
khushi ke saare mausam doosron mein baant dete hai
faqt ek dard ki daulat hai jo hum baanta nhi karte
hum ahle ishq ki fitrat se saare log waqif hai
ke hum kuch kar guzarte hai magar socha nhi karte
karenge tum se hum tarke taaluq ye kaise mumkin hai
ke hum to dushmano ka sath bhi choda nhi karte