umeed abhi kuch baki hai




umeed abhi kuch baki hai
ek basti basne wali hai

jis basti main koi zulm na hoga
aur jeena koi jurm na hoga

wahan phool khushi k khilte hongay
aur musam saray milltay hongay

bas rang aur noor barste honge
aur sare hanste baste hongay

umeed hai aisi basti ki jahan jhoot ka karobaar na ho ta ho
dehshat ka bhi bazar na ho ta ho

jeena bhi dushwar na ho ta ho
marna bhi azaar na no ta ho

ye basti kash tumhari ho
ye basti kash hamari ho

wahan khon ki holi aam na ho
us angan main gham ki shaam na ho

jahan munsif se insaf millay
dil sab ka sab se saaf millay

ek aas hai aisi basti ki
jahan bhook se roti sasti ho

Kashhhhhhhhhh 

kahi wo basti ho 

ek larki jo meri ghazal hai



ek larki jo meri ghazal hai
ek larki jo khilye hua kanwal tarha hai
ek larki ho taj mehal ki tarha hai
woh or koi nhi tum hi to ho

us ki kesoo kaali ghatayein
us ki dupatte se lehrati hawayein
us ki yaadein meri wafayein
woh larki or koi nhi tum hi to ho

us ki ankhein chamakte moti
us ki palkein aankhon ko chuoti
us ke gaal sehra-e-moti
woh larki or koi nhi tum hi to ho

us ke lab gulab jaise
us ka maan khuli kitab jaisa
us ki rangat shabab jaisi
woh larki or koi nhi tum hi to ho
woh larki or koi nhi tum hi to ho

Aag laga kar chali usay aanchal kar do


Aag laga kar chali usay aanchal kar do
tum mujhe raat ka jalta howa jangal kar do

chand sa misra akela hai mere kaghaz par
chat pe aajaao or meraa shair mukamal kar do

main tumhen dil ki siyasat ka hunar deta hoon
ab usay dhoop bana do mujhe badal kar do

apne aangan ki udaasi se zara baat karo
neem ke sookhe howe per ko chu ke sandal kar do

tum mujhe chor ke jaaoge to mar jaongay
yu karo jaane se pehle mujhe paagal kar do

Zindagi Ke Har Mood Par





Zindagi ke har mood par
ham ne dhoka kha rakha hai

loog samajhte hai
ham ne duniya ko hansa rakha hai

laiken in ko kya maloom
ke ham ne
apne ghar ke ek kamre mein

ek choota sa apni hasraton ka
qabristan bana rakha hai

mout bhi karti hai ham se bewafaye
aur ghumon ne hamein
sanam khana bana rakha hai

loogo ki nazro mein ham ne
apne labon par
majmooa-e-aashar saja rakha hai

laiken in ko kya maloom
ham ne ghum aur dukho ka
naam khushi bana rakha hai

Niyyat Hi Agar Theek Zamane Ki Nhi Hai



 Niyyat hi agar theek zamane ki nhi hai
jaldi to mujhe bhi kahin jaane ki nhi hai

jin khwabon ki taabir per israr hai tum ko
un khwabon ki tabeer batane ki nhi hai

jis baat ko phirte ho chupaye hue dil main 
wo baat kisi se bhi chupane ki nhi hai

is bheer main saaye se bicharta hua saaya 
kahta hai yahan saath nibhane ki nhi hai

jalte hue shahron main izafa hi to hoga 
jab rasm koi aag bujhane ki nhi hai

chehron se parho jabr-e-mah-o-saal ki tareekh 
ye daastan duniya ko sunane ki nhi hai

sab log khazane ki taraf  dor rahe hai 
chabhi to kisi k pass khazane ki nhi hai

jo tere liye waqt se ladte hai abhi tak 
un ko to khabar hi tere aane ki nhi hai

dukh ye hai tu sach sunne ka aadi nhi warna 
ye umer tujhe khwab dikhane ki nhi hai