mere khyaalon se shayad wo sharmaati to hogi neend magar usko bhi nhi ati hogi chand ki khud koi roshni nhi hoti ye sochkar wo aur bhi itraati to hogi kabhi kaliyo ko dekh kar kabhi titliyon se khel kar dhadkanein uske dil ki bhi badh jaati hogi nadi ko dekhkar behak jaati hai uski baaton mein rawaani chalak aati to hogi khair ki bijli phalak pe kadakti hai ye sochkar wo aur bhi seham jaati to hogi mera zikr kabhi to aa jaata hoga ki wo apne aap simat to jaati hogi ye zindagi kitni choti hoti hai pal bhar mein zinda pal bhar mein mar jaati hogi....!
No comments:
Post a Comment