raat ki khamoshi mein kuch gunguna lete hai
raat ki khamoshi mein kuch gunguna lete hai
dard ko lafzon me dhaal kar kabhi koi geet bana lete hai
ashq to aakhon se yunhi to nhi behte hai
hawa ke anchal se unko hum dil mein panha dete hai
tanhai ki roshni hai itni mash-hoor zamane me
ke hum sare diye bhuja dete hai
ban baithe the unke pyaar mein itne deewane
ke ab baat be-baat muskura lete hai
poochta hai jab koi wajah is dard ki
to reit mein tera naam likh likh ke mita lete hai
ki jisne bewafai wo to ho chuke kisi aur ke
aur bewafai ka ilzaam hum apne sar laga lete hai...!
ek baar phir dil mein nayi aag jala di usne
ek baar phir dil mein nayi aag jala di usne
dehakte zakhmon ko khoob kya hawa di usne
mohabbat mein wo bhi hamari pagal hai
har taraf ye jhooti afwaah phela di usne
jhoothe khwaabon ki kahani bana di usne
deta raha wo fareb mohabbat ke naam par
peete rahe hum zehar wafaaon ke jaam bhar
khilti rahi muskurahat uske labon par har baar
wafa se chehre pe bewafai saja di usne
mohabbat ki aankh sharm se jhuka di usne
dil se nikli ek aah jo zuban tak aayi nhi
nabz hi khud jab dhadkan ko soon payi nhi
tohmaton ke takiye ko saja diya hothon par
begunaah laash chattanon mein daba di usne
mohabbat ki yeh akhiri rasm bhi nibha di usne.....!
ues yaad kar k na dil dukha jo guzar gaya wo guzar gaya
use yaad kar k na dil dukha jo guzar gaya wo guzar gaya
kahan lout kar koi ayai ga jo guzar gaya wo guzar gaya
nayai subah hai nayai shaab hai naya shahar hai naya naam hai
wo chala gaya usay bhool jaa, jo guzar gaya woh guzar gaya
koi ayae ga koi jayai ga koi jayai ga koi ayai ga
suno raston ki sada jo guzar gaya wo guzar gaya
teray paas tera habib hai jo nhi mila wo naseeb hai
koi phool kehta hai muskura jo guzar gaya woh guzar gaya
mujhey pat jharon ki kahanian na suna suna kay udaas kar
nayai mausamon ka pata bata, jo guzar gaya wo guzar gaya
yaha aetbar-o-yaqeen hai ye haqiqaton ki zameen hai
zara dair ka koi khuwab tha jo guzar gaya wo guzar gaya.....!
dil k dharakny ka sabab yaad aaye
dil k dharakny ka sabab yaad aaye
wo teri yaad the ab yaad aaye
din guzara tha badi mushkil se
phir tera wada-e-shab yaad aaye
tera bhoola howa peman-e-wafa
mar jaye gya agar ab wo yaad aaye
hal-e-dil hum bhi sunaty lakin
jab wo rukhsat howa tab sab yaad aaye
beath kar saya-e-gul mein KASHIF
hum buhat roye wo jab yaad aaye.......!
be-sabab youn hi sar-e-sham nikal aaty hai
Be-sabab youn hi sar-e-sham nikal aaty hai
hum bulaen to unhien kai kaam nikal aaty hai
koi hamko shoq to nhi hai aawargi ka
hum to unki galiyon mein un se honay hamkalaam nikal aaty hai
unki jafaon ke zakham khatay rahey hai kuch is tarah
k raat ka andhera charhtay hi dard tamam nikal aaty hai
kya btaun tumhe in hussan walon ki ada yaaro
hum bulaen to parda
warna sar-e-aam nikal aaty hai...!
Subscribe to:
Posts (Atom)