kya hua jo tumhara saath nhi
kya hua jo tumhara saath nhi
mere hathon main tumhara haath nhi
mere liye tumhari yaadein hi kafi hai
muhabbat main zaroori mulaqat nhi
main sari umar tarsa hu chahat k liye
mere naseeb me shayad ye soghat nhi
is andaaz se bikhra k phir simat na saka
mujhe samaitne wala hi shayad koi haath he nhi....!
tumhain ab ham bhool hi jaye to acha hai
tumhain ab ham bhool hi jaye to acha hai
ye faslay or bhi barh jaya to acha hai
agar tumhari chahatain hum ko nhi hasil
to ab ghair hi bun jaya to acha hai
hummari to umer guzri hai teri chahato mein
to is aag main na jalay to acha hai
rehta tha teri muhabbat ka saya hummaray sath
ab to apni perchai bhi na ho to acha hai
raiza raiza ho chukki hai rooh meri
kash badan se ab nikkal hi jaya to acha hai....!
dard ki baarish main to dil roz bheegta hai
dard ki baarish main to dil roz bheegta hai
aye Khuda aaj chahay to phir se wahi dard ki baraish kar de
par ek boond khushi ki ismaey de de
wo khusih main nazro se dekhna chahata hu
wo kush hai kahi door mujhsae
bus ye ek paigaam de de
is ek boond ke sahare main apni zindagi jee jaunga
phir chahaye to umra bhar gam aur dard ki baarish de de....!
aaj k is dour mein aye dost ye manzar kyun hai
aaj k is dour mein aye dost ye manzar kyun hai
zakhm hai har sar pe har haath mein patthar kyun hai
jab haqeeqat hai k har zameer mein tu rehta hai
phir zameen par kahin masjid to kahin mandir kyun hai
apna anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
apni nazaron mein har insaan sikandar kyun hai
zindagi jeeney ke qaabil hi nhi ab zakhmi
werna har aankh mein ashkon ka samandar kyun hai.....!
nishan tak na milyega meri wafao ka usay
nishan tak na milyega meri wafao ka usay
k maine rah badl di hai aazma k usay
kabhi na harf koi uski sadgi ka khula
warq warq parha main ne dil laga k usay
jo sab ka haal hua tha wo he mera haal hua
bani na baat koi baat bhi suna k usay
mujhy yaqeen hai wo laut kar bhi ayege
magr udaas hu ab raasta dikha k usay....!
mujhe zindagi ki dua na do yaroo
mujhe zindagi ki dua na do yaroo
meri zindagi se kabhi banti nhi
kai zindagiyo per karey yaqeen
mujhey zindagi pe yaqeen he nhi
ye safar bhi kaisa safar hua
mein kabhi kahin to kabhi kahin
mujhe jis sanam ki talash thi
wo mujhe mila magar wo meraa nhi
mein wo raat hu jo katati nhi
mein woh baat hu jo bani nhi
mujhey zindagi ki dua na do yaroo
meri zindagi se kabhi banti nhi....!
tere din deta main kese ye zindagi jee payunga
tere bin bata main kese ye zindagi jee paunga
dharkan hai tu mere dil ki tujhe bin mar jaunga
khushi meri cheen ke kehti ho hamesha hasna
ek wajah bata de ab kis liye main muskuraunga?
kehte hain log mujh ko k zindagi ek jannat si hai
tujhe bin ye jahannum hai her bar ye dohraunga
mat choor muje tanha tujhe apne pyaar ki qasam
akele hi zindagi ka bojh bata main kese uthaunga
thora yaqeen kar mera or thora mujh pe aitbaar kar
saath tera hoga to yaqeenan is dunya ko haraunga
sirf ashqon se mere ab jalta hai chirag mazar ka
tu agar juda hogai to aansoo mai sabko bahaunga
chaand hai tu mera tu ne zindagi ko roshni di hai
KASHIF kehta hai tujh bin andheron me main ghoom ho jaunga....!
us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki
us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki
chahta hu k ab sunoon us se zubaani us ki
wo sitamgar hai to ab us se shikayat kesi
or sitam karna bhi to hai aadat purani us ki
besh-qeemat hai ye moti se meri palkon per
chand aansu hai mere pass nishani us ki
us jafaa-kaar ko maloom nhi wo kya hai
be-murawat ko hai ab tasveer dikhani us ki....!
wo hata rehain hai parda
wo hata rahain hai parda
sar-e-aam chupke chupke
koi qatal ho raha hai
dar-e-baam chupke chupke
ye jhuki jhuki nighain
ye haseen haseen ishaare
kahin le na jaain shayad
meri jaan chupke chupke
kabhi shokiyan dikhana
kabhi un ka muskurana
ye adaain ker na daalain
mera kaam chupke chupke
ye jo hichkiyan musalsal
mjhe aa rahi hai yaroo
koi le raha hai shayad
mera naam chupke chupke....!
us ki nazron ka kamal na poch
us ki nazron ka kamal na poch
ab jo hua hai mera hal na poch
ho gai us k samney zuban band meri
phir kya keay us ne mujh se sawal na poch
milta hai mujhy har roz khuwab mein
use hai mera kitna khayal na poch
tery sang jo waqt guzra maloom nhi
judai mein jo guzra wo saal na poch......!
Subscribe to:
Posts (Atom)