hamare dil me phele howay jaalon se tu pareshaan na ho



Hamare dil me phele howay jaalon Se tu pareshaan na ho 

Hamare guzray Howay kuch saalon se tu pareshaan na ho 

Hamari aawaaz ki talkhi ko gawaara kar le hamare kuch gustaakh sawaalon se tu pareshaan na ho 

Hamne maana tumhari aankhain nahi khulti hai magar din ko nikalnay to de ujaalon se tu pareshaan na ho 

apni zulfon me utarti howi chaandni ko chhupa le hamare bikhray howay baalon se tu pareshaan na ho 

dekh k yu door na ho ham Ko ab laga le dil se yu hamari rooh k chhaalon se tu pareshaan na ho

Khud ko veeraan na kar hamare liye jaan hamare in pareshaan khayaalon se tu pareshaan na ho..!

zindagi ka har dhup chao me MAA k hone jesa kya ?


is ghar ki deheliz k andar ye medhe khuwab jesa kya ?
ye janmo janmo ka bandhan ye kuch kuch apne jesa kya ?

tu makhmal ka bistar le aa ya sang-e-mar mar ki diware 
MAA k anchal me aa kar befikri se sone jesa kya ?

zindagi ka har dhup chao me  MAA k hone jesa kya ?

nanhe nanhe pero se jab chalna bhi nahi aata tha 
MAA wo sab sunleti thi jo kehena bhi nahi aata tha 

mera rona sunkar kese bhagi dodi chali ati thi 
halki halki need me uski lori sunne jesa kya ?

zindagi ka har dhup chao me  MAA k hone jesa kya ?

subha subha hi jane kese wo jaldi udha jati thi 
tefeen banakar deti or school mujhe pochati thi 

meri zidh bhi hoti thi MAA naye khilone laakar de 
uska har din meri nai nai zidh ko sehene jesa kya ?

zindagi ka har dhup chao me  MAA k hone jesa kya ?

meri haar kamiyabi pe wo ghar pe midha magwati thi
midha ek bahana tha wo ghar gali me sab ko batlati 

k mujko ek din aasman me tara banke udhna hai 
meri MAA ki aankho k us bole sapne jesa kya ?

zindagi ka har dhup chao me  MAA k hone jesa kya ?

thak haar k ghar par aa kar wo khana  khub banati thi 
or ser par mere haath pher kar wo man hi man muskaati thi 

achi nokri  milne par uski khushiyo ka koi andaz na tha  
par ghar se dur nikalne par uske chup chup rone jesa kya ?

zindagi ka har dhup chao me  MAA k hone jesa kya ?

milo chalo sansar dekh lo har basti pariwar dekh lo 
choti si pholwari ho ya raja k darbar dekh lo 

har gali ka ek ek pathar bhi ye raag sunane lagta hai
k jannat kahi hai duniya me to maa k kadmo jesa kya ?

zindagi ke har dhup chao me  MAA k hone jesa kya ....?