aaj k is dour mein aye dost ye manzar kyun hai zakhm hai har sar pe har haath mein patthar kyun hai jab haqeeqat hai k har zameer mein tu rehta hai phir zameen par kahin masjid to kahin mandir kyun hai apna anjaam to maalum hai sab ko phir bhi apni nazaron mein har insaan sikandar kyun hai zindagi jeeney ke qaabil hi nhi ab zakhmi werna har aankh mein ashkon ka samandar kyun hai.....!
No comments:
Post a Comment