tere sang bitaya hua har lamha yaad aata hai mujhko
chale aao ke ye hijr ki raatain bohat rulaati hai mujhko
tere aashiyane ko jaana hum bhala kese aajaye
tere sheher ke log bohat satate hai mujhko
tu chahe kitna hi chupa le mein phir bhi janta hoon
teri soch har mehwar yaad karta hai mujhko
khud mein jhaankta hoon to ye khayal aata hai
bin tere jeena bhi muhaal lagta hai mujhko
mein andheron ki nagri ka kamzor sa musafir hu
ab ujaalon ki musaaftain kahan raas aati hai mujhko
tere deed ki pyaas hi ab taskeen deti hai
Tteri miti huyi arzuyain hi chain deti hai mujhko
ae husnain tamasha dekhne wale koi kam to na they
ruswayion ke soghaat diye tere apno ne mujhko
No comments:
Post a Comment