ye mere bachpan ki galiyaan yehi mera ghar hai
kho gaya tha jaha ye bachpan wahi ye angan hai
aye baad berson k ham en diwaaron se milne
gali gali main hai bachpan ki khushbo wayesa hi hai
aaj bhi dhondti hai meri ankhein kiun meri Guryan
aa Saheli dekh khoaya kahan woh bachpan hai
gorion ki shadi ka khail aur woh barish ka pani
bheegtay woh school ka jana ab bhi wahi anjuman hai
yaad aayi mujh ko meri saari saheliyaan o meri aami
lerty milty thy yehi ham wahi aks ka darpan hai
No comments:
Post a Comment