apne jazbaat tumse kya kahu dil me dabi hai jo baat tumse kya kahu hai tanha si zindagi tumhare bin us tanha lamhe ki baat tumse kya kahu wo masoom sa muskurata hua chehra tumhara us hasin pal ki mithas tumse kya kahu yu to dil me dabi hai sawal kai kaise karu izhar tumse kya kahu rab se mangi hai tumhe pane ki ek muraad tumhari judai k dard ka ehsas tumse kya kahu nigahon me hai bas ek tasver tumhari is pagal dil ko hai tumhari talash tumse or kya kahu kyu dil sunta hai tumhari har unkahi baat wo unkahe alfaz tumse kya kahu.....!
No comments:
Post a Comment