ham bohat door nikal aye hai yu hi chalte chalye
ab theher jayen kahin shaam ke dhalte dhalte
ab gham-e-zeest se ghadraa ke kahan jayen ge ham
hamari to umar hi guzri hai is aag mein jalte jalte
raat ke baad sehar ho gi magar kis ke liye
ham hi shayed na rahen is raat ke dhalte dhalte
roshni kam thi magar itna andhera to na tha
shama-e-umeed bhi gull ho gayi ab to jalte jalte
tooti deewar ka saaya bhi bohat hota hai
paano jjal jayen agar dhoop mein chalte chalte
din abhi baaki hai kashif zara tez chalo
kuch na soojhay ga tumhe sham ke dhalte dhalte ...!
No comments:
Post a Comment