zindagi ka har dhup chao me MAA k hone jesa kya ?
is ghar ki deheliz k andar ye medhe khuwab jesa kya ?
ye janmo janmo ka bandhan ye kuch kuch apne jesa kya ?
tu makhmal ka bistar le aa ya sang-e-mar mar ki diware
MAA k anchal me aa kar befikri se sone jesa kya ?
zindagi ka har dhup chao me MAA k hone jesa kya ?
nanhe nanhe pero se jab chalna bhi nahi aata tha
MAA wo sab sunleti thi jo kehena bhi nahi aata tha
mera rona sunkar kese bhagi dodi chali ati thi
halki halki need me uski lori sunne jesa kya ?
zindagi ka har dhup chao me MAA k hone jesa kya ?
subha subha hi jane kese wo jaldi udha jati thi
tefeen banakar deti or school mujhe pochati thi
meri zidh bhi hoti thi MAA naye khilone laakar de
uska har din meri nai nai zidh ko sehene jesa kya ?
zindagi ka har dhup chao me MAA k hone jesa kya ?
meri haar kamiyabi pe wo ghar pe midha magwati thi
midha ek bahana tha wo ghar gali me sab ko batlati
k mujko ek din aasman me tara banke udhna hai
meri MAA ki aankho k us bole sapne jesa kya ?
zindagi ka har dhup chao me MAA k hone jesa kya ?
thak haar k ghar par aa kar wo khana khub banati thi
or ser par mere haath pher kar wo man hi man muskaati thi
achi nokri milne par uski khushiyo ka koi andaz na tha
par ghar se dur nikalne par uske chup chup rone jesa kya ?
zindagi ka har dhup chao me MAA k hone jesa kya ?
milo chalo sansar dekh lo har basti pariwar dekh lo
choti si pholwari ho ya raja k darbar dekh lo
har gali ka ek ek pathar bhi ye raag sunane lagta hai
k jannat kahi hai duniya me to maa k kadmo jesa kya ?
zindagi ke har dhup chao me MAA k hone jesa kya ....?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment