kabhi sochta hu ke use neend bhi aati hogi


kabhi sochta hu ke use neend bhi aati  hogi
ya meri tarah wo bhi faqat ashk bahati hogi
 
wo meri shakal mera naam bhulanay wali
apni tasweer se kese aankh milati hogi
 
is zameen pe bhi hai selaab mere ashkon ka
mere matam ki sada arsh tak ko helati hogi
 
shaam hote he wo chokhat pe jala kar shamain
apni palkon pe kai khowab sulati hogi
 
us ne silwa bhi liye honga kale rang ka lebaas
ab moharram ki tarah eid manati hogi
 
hoti hogi mere bosae ki talab main pagal
jab bhi zulfon main koi phool sajati hogi

mere tarek zamano se nikalnay wali
roshni tujh ko meri yaad dilati hogi
 
dil ki masoom ragain khud he sulagti hogi
joon hi taswer ka kona wo jalati hogi.....!

No comments: