kab tak rahogi aakhir yu door door ham say


kab tak rahogi aakhir yu door door ham say
milna padeyga aakhir ek din zaroor ham say

daman bichane walay ye be-rukhi hai kesi
kehe do ager hua hai koi qusoor ham say

ham cheen lenge tumse ye shan-e-benayazi
tum mangte phiro gay apna gu-roor hum say…!

hamare ru-ba-ru koi or hai


hamein is baat se koi gharz nahi k hamare ru-ba-ru koi or hai
hamari khuwaisho k jahan main hamari ARZOO koi or hai

hamein kal bhi tumhari talash thi hamein ab bhi tumhari talash hai
na wo justugu koi or thi na ye justuju koi or hai

ham hudood-o-jism jo tood kar nekle gaye to ptaa chla
jahan ham hi ham the hamari tarha wahan hu-ba-hu koi or hai....!

MAA me tera beta hu


MAA me tera beta hu
teri ungli tham k chalta tha
tu door nazar se hoti thi
main aansoo aansoo rota tha

kitabo ka ek roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi
jab darta tha me raato ko
tu apne sath sulati thi

MAA tu ne kitne barson tak
mujko sajaya apne hathon se
Jeevan kai apne jisam ka khon de
de k main samjha teri batoon se

mein tere diye takiye par
ab bhi raat ko sota hu
MAA me tera beta hu
tujhe yaad kar kar roota hu.....!

wo ham par subha hamari sham reheti hai MAA


wo ham par subha hamari sham reheti hai
garmiyon ki dhop me wo hamari nighebaan reheti hai

hamare liye wo sehti thi tane dosaron k
hamare liye hi wo har waqt udas reheti hai

satate the ham useko jee bhar kar
lakin us k labon par phir bhi dua reheti hai

chala jate the ham jab bhi kahi door to
nazar hamaisha us ki darwaze par reheti hai

karte nahi the talash kahi bhi hum
us k qadmoo me hi hamari janat reheti hai

chor jate the jab bhi log bachpan me
us k hathon me hi meri ongali reheti hai

ratjagon k azab jo hum par otarte the
us ki mohabbat hi meri lori reheti hai

qurban karti hai wo ham par apna sab kuch
hamari khushi me hi us ki khushi reheti hai

Kashif yaad ati hai hamko wohi MAA bar bar
hamari shohrat jiss ki dauon se reheti hai.....!

tumhara yu aanchal hata kar daikhna acha lagta hai


tumhara yu aanchal hata kar daikhna acha lagta hai
tumhari galiyo me ghumna phirna acha lagta hai

ham to kitni dour se aa jate hai tumhare sheher me
or tumhara ghar se hi na nikalna acha lagta hai

hamare liye tum ek hasin raaz hai
Is ko raaz ko samjhna acha lgta hai

haseen wadiyo me rehna tumhare sath chalna
aise dilkash khawab daikhna acha lagta hai

tumhara baat baat par yu ruth jana
or hamara wo manana acha lagta hai

hamein apne dil kahin jagha de do
is samandar me rehna acha lagta hai.....!

hamne koshish to bohat ki tujhe bhool jane ki


hamne koshish to bohat ki lekin
tujhye bhool jana bhi kisi mojzey se kam nahi

zindagi wafa na karay is baat ka gham nahi
tu mujh se bichar gaya ye gaam bhi to kam nahi

Meri maa kaha kerti hai tu bohat bahadur hai
Is liye aaj meri aankh pur-nam nahi

Kashif is liye bhi udas reheta hai
mere hise ki khoshiya kisi gamon se kam nahi

tum na mujhay kabhi chor ker jana
Is dil-e-bemar ko zamana choney ka gham nahi.....!

moot se kahi ziyada to zindagi ne sataya hai


moot se kahi ziyada to zindagi ne sataya hai
tujko jitna bholaya tu utna hi yaad aya hai

tum kyu aksar is baat ko bhool jati ho
barson ki manaton k baad tumko paya hai

is dil mein koi aur is liye nahi basta
kyuki hamare dil pe tumhare pyar ka saya hai

ham tumhe kya batye ‘ARZOO’ k
ham ne tumhe kho ker kitna gaam paya hai....!

pooch rahe hai duniya wale


pooch rahe hai duniya wale
lekin hum batlaayen kya

daag yeh dil pe kaise aye hai
un ko ham samjhayen kya

kitne daag hai is daaman me
kitne daag hai maathe par
ab sab ko batlaaye kya

jo apnon ki basti thi ab nagari hai begano ki
kon yaha hai sunne wala
dil ki baat sunaye kya

patthar ab kya maar rahe ho
ham pehle se hi zakhmi hai

dil par kitne zakhm lage hai
chhodo tumko ginwaye kya....!

tumhe apna bana kar chale jaaynge


zara paas bedho suhane safar mein
gazal koi gaa kar chale jaayenge

medha medha sa hai dard dil mein
ye tumko sunaker chale jaayenge

abhi khuwab hi khuwab mein thi mohabbat
ab haqeqat bana kar chale jaayenge

mat kehena k is rog se dur ho tum
tumhe mohabbat sekha kar chale jaayenge

bhut katilo k sheher mein rahe hai
na wo chup sake the na wo chup payenge

zara teer nazro k dil par chalao
khushi se katal ho kar chale jaayenge

abhi bhi kyu khamosh bedhe hue ho
zara moskura do haste hue chale jaayenge

rokoge kese is dewangi ko
tumhe aaj apna banakar chale jaayenge.....!

kaha tha na yu soota hua mat chhor kar jana


kaha tha na yu soote hua mat chhor kar jana
mujhe be-shak jaga dena bata dena

tumhe rasta badalna hai meri had se nikal na hai
tumhe kis baat ka dar tha mein tumhe jane nhi deta

kahi pe ked kar leta
are pagal mohabbat ki tabiyet me zabrdsti nhi hoti

jese rasta badalna ho use rasta badalne se
jese had se nikalna ho us had se nikalne se

na koi rook baya hai na koi rook payga
tumhe kis baat ka dar tha

mujhe  be-sahk jaga dete mein tumhe dekh hi lata
tumhe koi dua deta kam se kam yu to na hota

mere sathi ye haqeqat hai
tumhare baad mere paas khone k liye kuch bhi nahi

magar mein khone se darta hu ab mein sone se darta hu
 

kaha tha na yu chhor kar jana .....!

zindagi sab ko mili ho ye zaruri to nahi


Zindagi sab ko mili ho ye zaroori to nahi

Umer jalwon mein basar ho ye zaroori to nahi
har shab-e-gham ki sehar ho ye zaroori to nahi

neend to dard k bistar pe bhi aa sakti hai
unki aaghosh mein sar ho ye zaroori to nahi

sabki nazar saaki pe ho ye zaroori hai magar
sab pe saaki ki nazar ho ye zaroori to nahi

aap roye meri mayat mein itna kaafi hai
sabki aankhon mein nami ho ye zaroori to nahi.....!

ham tumhare haath pe rach jayinge mehendi ki taraha


ham tumhare haath pe rach jayinge mehendi ki taraha
tum hamara naam kabhi haathon pe saja kar to dekho

ham tumhare jism me mehkunge gulabon ki taraha
aao kabhi hamko dil me basa kar to dekho

ham tumhare lab pe chha jaunge muskarahat ki taraha
apne honton se kabhi hamara naam bula kar to dekho

ham tumhari aankh mein bas jayge kajal ki taraha
tum kabhi hamari yaad ka ek khawab saja kar to dekho

ham bikhar jayng chaar-su khushion ki taraha
apne naam se hamara naam mila kar to dekho......!

tumhare chand se chehre pe ye gum acha nhi lagta


tumhare chand se chehre pe ye gum ache nhi lgta
mujse kehe do chale jao jo main ache nhi lgta

mujko wo zakham do jo sari umar na bhar paye
jo jaldi bhar ke mit jaye wo gum ache nhi lgta

tumhe har Ghazle me likhna mera dastur ban gaya hai
lekin bhari mhfil me tere zikar karna mujhe ache nhi lgta.......!

dekha palat k usne k hasrat use bhi thi or hamein bhi


Dekha palat k usne k hasrat use bhi thi or hamein bhi
Ham jis pe mitt gaye the wo mohabbat usay bhi thi or hamein bhi

kuch sehem si gaye thi wo idar udhar dekh kar
dunya se kuch shikayat usay bhi thi or hamein bhi

ye soch kar andhero ko gale se laga liya
k raaton ko jaagne ki aadat use bhi thi or hamein bhi

wo roo diye the mujhko pareshan dekh kar
us din ye malum hua k mohabbat usay bhi thi or hamein bhi....!

khush lab hai jhuki hai palke


khush lab hai jhuki hai palke
dilo me ulfat nae nae hai
abhi to waqt hai guftgu mein

abhi mohabbat nae nae hai

jo kandani rais hai

wo mizaj rakhte hai narm apna
tumhara leheja bata raha hai
tumhari dolat nae nae hai

zara sa kudrat ne kya nawaza hai tumko
k aa ke bedhe ho pehele saf mein
abhi se udne lage hawa mein
abhi to shoharat nae nae hai.....!

pakiza mohabbat ko gunaha gar na karna


pakiza mohabbat ko gunaha gar na karna
tum pyar to karna magar izhar na karna

surat se badi chez hai mehebub ki sirat
awara hawao se kabhi pyar na karna

ashko me na behe jaye khi gam ka khazana
soye hua tufano ko bezaar na karna.......!

wo kehti thi


wo kehti thi

tumhara saath mil jaye to sab dukh bhul jaugi
wo kehti thi k har surat mein tumhe apna banaugi

nichawar khakh kar dugi tumhare ek ishare par
kabhi pipal ki chao mein kabhi nadiya kinare par
mujhe tumse mohabbat hai mein logo ko bataugi
wo kehti thi har surat me tumhe apna banaugi

mein chahugi jana tumhe umango se ujalo tak
khudi ke dasht se lekar naye janmo k saalo tak
mari dhandi si tanhai sulagti raat jesi ho
mujhe bas sath le ja bhale barat jesi ho

tumhare surk jodye me hi dulhan bankar aaugi
mujhe tumse mohabbat hai mein logo ko bataugi

wo kehti thi har surat me tumhe apna banaugi.....!

tujhe ishq ho khuda kare


tujhe ishq ho khuda kare
koi tujhe ko us se juda kare 

tere hoot hasna bhul jaye
teri aankhe purnam ka haal kaha kare

tu us ki baatye kiya kare
tu uski baatye suna kare
use dekha kar tu rook pade
wo nazar jhuka ke chala kare

tujhe hijar ki asi chadi lage
tu melan ki har pal dua kare

tere khuwab bekhre toot kar
tu zara zara chuna kare

tu nagar nagr phira kare
tu gali gali sada kare
 

tere samne tera ghar jale
tera bas cale na bhuja sake
tere dil se yehi dua nikle
na ghar kis ka jala kare

tujhe ishq ho phir yakin ho
tu us tasbiyo me padha kare
mein kahu k ishq dhoka hai
or tu nhi nhi kiya kare

tujhe ishq ho khuda kare
koi tujhe ko us se juda kare....!

lot aao bhula kar khataye meri


lot aao bhula kar khataye meri
raha me dil bijha du agar tum kaho
eid ka chand nikla saji har gali
mein bhi ghar ko saja du agar tum kaho

jang se mulk jete gaye hai sada
pyar se jeet lete hai admi
ye tumhari nigaho me nafrat hai jo
is ko cahat bana du agar tum kaho

kya kaha ye andhere na mit payege
kya kha roshni ab ho payegi
de k dil ka ujala chrago ko mein
raat ko din bana du agar tum kaho

wo junu kya hua wo wafa kya hui
ab to kapdye bhi lane ki fursat bhi nhi
kis mohabbat se kal tak ye kehete the tum
chand tare bhi la du agar tum kaho

sab yaha par hai apne paraye nhi
or apno se kuch bhi chupate nhi
zikr jisme tumhari jafao ko hai
wo gazal bhi suna du agar tum kaho.....!

kabhi dupate ka kona bhi nam nhi hota


kabhi dupate ka kona bhi nam nhi hota
jaha ho pyar waha koi gam nhi hota

bichad k dono ko is baat ka yakin hua
k dur rehene se bhi pyar kam nhi hota

kis k ashak piyo izat milegi tumhe
sharab pe k koi mohataram nhi hota

hawa k ek hi jhuke se bujh gaye hote
agar hamare charago me dam nhi hota

jo apne hise ki roti bhi bat deta hai
us admi ka kabhi rizk kam nhi hota.....!

tumhare paas ata hua to sanse bhig jati hai


tumhare paas ata hu to sanse bhig jati hai
mohabbat itni milte hai k aankhe bhig jati hai

tabasum itar jesa hai haasi barsat jesi hai
wo jab bhi baat karta hai to baatye bhig jati hai

tumhari yaad se dil me ujala hone lagta hai
tumhe jab gun gunata hu to raatye bhig jati hai

tere ehasaas ki khusbu hamesha taza reheti hai
teri rehemat ki barish se murade bhig jati hai.....!

hasratein poori karne ka maza hi kuch or hai


hasratein poori karne ka maza hi kuch or hai
tumhari baahon me marne ka maza hi kuch or hai
 

pee kar to madhosh sab hote hai aksar
tumhari aankhon se peene ka maza hi kuch or hai
 

manzil to paa lete yu to ham akela bhi
par tumhare sath chalne ka maza hi kuch or hai
 

hanste to sab hai mehfilon me hamdum
par rote huye hasne ka maza hi kuch or hai....!

hamare dil me zara sa utr kar to dekho


hamare dil me zara sa utar kar to dekho
tum bhi zarasi  fikar kar kar to dekho



roz roothogi to roz manayege ham tumhe
chaand ban k hamare aangan me utar kar to dekho



chaand ko bada gurur hai apne hussn par
tum ek baar zara sa aayiney me sanwar kar dekho



suna hai mohabbat duyayen deti hai
bas ek bar hamare liye bikhar kar to dekho


aasman ka chand zameen par wallah
sitaaro aasman se zara sa utar kar to dekho.....!

aagaye manzil thi or peche us ki awaz


aagaye manzil thi or peche us ki awaz
rukta to safar jata chalta to bichad jata

mekhana bhi usi ka tha or mehkar bhi usi ka tha
agar peta Tto iman jata or agar na peta to sanam jata

saza aisi mili hamko zakham aise lage dil par
chupata to jigar jata sunata to bikhar jata

mere gham ki dawa na thi siwaye yaar ki khooj ke
ham batate to kisko batate or jateye bhi to kidhar jateye.....!

pal bhar ki judai wo gawara na kar sake


pal bhar ki judai wo gawara na kar sake
aesi mohabbat ham dubara na kar sake


tum ne to har kisi se dil laga k dekha hai
magar ham apne dil ko awara na kar sake


zindagi bhar palat k na dekha tumne kabhi
hamne phir bhi shikwa tumhara na kar sake


jaan tak luta di hamne to unke pyar me
or ek wo hai jo apna dil ham hamara na kar sake....!

MEIN TO KUCH BHI NHI


aap kya jane mujko samjhte hai kya mein to kuch bhi nhi
iskadr pyar itni badi bhid ka mein rakhoga kaha
iskadr pyar rakhne k mein kabil bhi nhi
mera dil meri jaan mujko itni mohabbat na do dosto
soch lo dosto soch lo dosto is kadar pyar kese samahalo ga mein
mein to kuch bhi nhi

pyar ek shaks ka bhi mil sake to badi cheez hai zindagi k liye
admi ko magar ye bhi milta hi nhi
mujko itni mohabbat mili aap se
ye mera haq nhi ye meri taqdir hai
mein to zamane ki nazro mein kuch bhi na tha
meri aankho me ab tak wo taswis hai
is mohabbat k badle mein kya nazar du
mein to kuch bhi nhi

izatye , shoharatye , cahatye , ulfatye,
duniya me kuch bhi reheta nhi
aaj mein hu jaha kal koi or tha
ye bhi ek dor hai wo bhi ek dor tha

aaj itni mohabbat na do dosto
k mere kal ki kahtir kuch bhi na rahe
aaj ka pyar thoda bacha kar rakho mere kal k liye
kal jo gumnam hai , kal jo sunsan hai,
kal jo anjan hai kal jo viran hai
mein to kuch bhi nhi
mein to kuch bhi nhi ....!

jab kabhi samndar me utarta hu to aankhe bheg jati hai


jab kabhi samndar me utarta hu to aankhe bheg jati hai
jab kabhi tere cahere ko padta hu to aankhe bheg jati hai

jab kabhi tera naam likhena ka suchta hu to aankhe bheg jati hai
jab kabhi tere naam ka pahela lafz lekhta hu to aankhe bheg jati hai

jab kabhi apni khali zindagi ko dekhta hu to aankhe bheg jati hai
jab kabhi bete lamhe yaad aa jate hai to aankhe bhig jati hai

tum ne kaha tha hamse k bin hmare tum kuch nhi karoge
to is duniya ko kis se pucha kar chud diya tumne

jab kabhi wo lamha yaad ata hai to aankhe bhig jati hai ....!

sono jana kabhi kisi waqt tumhara dil agar ye sawal poche




sono jana kabhi kisi waqt tumhara dil agar ye sawal poche

k chahat kis ka naam hai
ye mohabbat kya hoti hai

to us pal use ye kehena
kisi ko sochte rehana

kisi ko khojte rehena
wo jis ko ham pa nhi sakte

magar kho bhi nhi sakte
kisi k hona bhi chahtein hai

or kisi ki ho bhi nhi sakte
koi aesa agar hai to samjho k

wohi hai wo k jis se pyar karte ho
jis pe tum jeete marte ho

us ka hi naam CHAHAT hai
or wohi hai jazba-e-mohabbt hai......!

kabhi sochta hu ke use neend bhi aati hogi


kabhi sochta hu ke use neend bhi aati  hogi
ya meri tarah wo bhi faqat ashk bahati hogi
 
wo meri shakal mera naam bhulanay wali
apni tasweer se kese aankh milati hogi
 
is zameen pe bhi hai selaab mere ashkon ka
mere matam ki sada arsh tak ko helati hogi
 
shaam hote he wo chokhat pe jala kar shamain
apni palkon pe kai khowab sulati hogi
 
us ne silwa bhi liye honga kale rang ka lebaas
ab moharram ki tarah eid manati hogi
 
hoti hogi mere bosae ki talab main pagal
jab bhi zulfon main koi phool sajati hogi

mere tarek zamano se nikalnay wali
roshni tujh ko meri yaad dilati hogi
 
dil ki masoom ragain khud he sulagti hogi
joon hi taswer ka kona wo jalati hogi.....!

nazare milne par aankhein jhukati hai wo


Nazare milne par aankhein jhukati hai wo

apne chehre ko pallu mein chupa ke tadpati

hai wo

wo chand sa chehra nazuk ghulab se lab

ghane julfon ke saye mein ghazab dhate hai wo

us lamhein mein qayamat hoti hai dil pe

hamare
jab kabhi kisi baat pe muskarate hai wo

aisa nahi ki wo nahi janti jazbaat hamare dil


ke
magar nadan ban ke hame bahoot satati hai wo

aankhon hi aankhon mein baat karte ham se

magar zuban se kuch kehne me sharmati hai

wo.....!

mere qaatilo ko pakado kyuki main abhi zinda hoon

mere qaatilo ko pakado kyuki main abhi zinda hoon
phir se maqtal ko sanwaro kyuki  main abhi zinda hoon
 

ye shab-e-hijar to sathi hai meri barson se
jao so jao sitaro kyuki main abhi zinda hoon


laakho mudo main ghiri hun main abhi doobi to nhi
mujh ko sahil se pukaro kyuki main abhi zinda hoon
 

qabar se aaj bhi DAMNI ki aati hai sada
tum kahan ho meray yaroo kyuki main abhi zinda hoon.....!

hame apni aankho par bhut pyar aata hai

hame apni aankho par bhut pyar aata hai
jab tum inme dekhte hue dil me utar jati ho

hame apni baato par bhut pyar aata hai
jab tum inhe sunte hue dhere se muskurati ho

hame apne hontho par bhut pyar aata hai
jab tum inhe chute hue sanso me ghul jati ho

hame apne dil par bhut pyar aata hai
jab tum dil se dil ke taar jodte chale jati ho

hame apne haato par bhut pyar aata hai
jab tum inhe thame hue manzil par badte jati ho

hame apni zindagi par bhut pyar aata hai
jab tum isme shamil hoti chale jati ho......!

tumse bichar kar bhut rota hoon




tumse bichar kar bhut rota hoon
dil ko kitna samajta hoon

jin rahoon per chalta hoon
tumhari yaad main tahdpta hoon

tumse jo na kehe saka tha
ab wo khod se kheta hoon

beeti battain beeti lamhain
yaad kar ke ham ab bhut rote hai

fursat hamko ho ke na ho
khat phir bhi likhta hoon

or likh ke jalane se kuch phele
un ko ham khud bhi parhte hai.....!

jis rahao pe ek umar tumhare sath chala hoon





Jis rahon pe ek umar tumhare sath chala hoon
kuch roz se wo rastey sunsaan bohat hai

mil jao kabhi laut ke phir na aaun shayad
kamzor hoon main raah mein toofan bohat hai

ek tum he nahi meri judai mein pareshan
hum bhi to teri chah mein viraan bohat hai.....!

kabhi akele betho to ye sochna


kabhi akele betho to ye zarur sochna 

koi kitna akela hai tumhare bager

kisi ki zindagi thi tum to

kisi ki bandagi thi tum to

kisi ko tumhari  khwahish thi

kisi ki chahatain mein tum thi

kabhi ik pal ko socho to

tumhara laparwahi ne

tumhari beniazi ne

tumhari bewafai ne

kisi ko maar dala hai

koi zinda to hai lakin

faqat wo saans leta hai

kabhi ek pal ko socho to

koi kitna akele hai tumhare bager

sochna zarur