Niyyat hi agar theek zamane ki nhi hai
jaldi to mujhe bhi kahin jaane ki nhi hai
jin khwabon ki taabir per israr hai tum ko
un khwabon ki tabeer batane ki nhi hai
jis baat ko phirte ho chupaye hue dil main
wo baat kisi se bhi chupane ki nhi hai
is bheer main saaye se bicharta hua saaya
kahta hai yahan saath nibhane ki nhi hai
jalte hue shahron main izafa hi to hoga
jab rasm koi aag bujhane ki nhi hai
chehron se parho jabr-e-mah-o-saal ki tareekh
ye daastan duniya ko sunane ki nhi hai
sab log khazane ki taraf dor rahe hai
chabhi to kisi k pass khazane ki nhi hai
jo tere liye waqt se ladte hai abhi tak
un ko to khabar hi tere aane ki nhi hai
dukh ye hai tu sach sunne ka aadi nhi warna
ye umer tujhe khwab dikhane ki nhi hai
No comments:
Post a Comment