Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein




Aaj dulhan ke laal jode mein
use uski saheliyon ne sajaya hoga


meri jaan ke gore haathon per
sakhiyon ne mehndi ko lagaya hoga


bahut gehra chadega mehndi ka rang
us mehndi mein usne mera naam chupaya hoga


reh reh ker ro padegi
jab jab usko khayal mera aaya hoga


khud ko dekhgi jab aaine mein
to aks usko mera bhi nazar aaya hoga


lag rahi hogi balaa si sunder woh
aaj dekh kar usko chaand bhi sharmaya hoga


aaj meri jaan ne
apne maa baap ki izzat ko bachaya hoga


usne beti hone ka
doston aaj har farz nibhaya hoga


majboor hogi woh sabse zyada
sochta hoon kis tarah usne khud ko samjhaya hoga


apne haathon se usne
hamare prem ke khaton ko jalaya hoga


khud ko majboot bana kar usne
apne dil se meri yaadon ko mitaya hoga


toot jayegi tasver meri
jab uski maa ne tasveer ko table se hataya hoga


ho jayenge laal mehndi wale haath
jab un kanch ke tukdon ko usne uthaya hoga


bhooki hogi wo jaanta hoon mein
kuch na us pagli ne mere bageir khaya hoga


kaise sambhala hoga khudko
jab use fairon ke liye bulaya hoga


kaampta hoga jism uska
haule se pandit ne haath uska kisi or ko pakdaya hoga


mein to majboor hoon pata hai use
aaj khud ko bhi bebas sa usne paaya hoga


ro ro ke bura haal ho jaayega uska
jab waqt uski vidayi ka aaya hoga


bade pyaar se meri jaan ko
maa baap ne doli mein bithaya hoga


ro padegi aatma bhi
dil bhi chekha or chilaya hoga


aaj apne maa baap ke liye
usne gala apni khushiyon ka dabaya hoga


reh na payegi juda hoker mujhse
dar hai ki zehar chupke se usne khaya hoga


doli mein baithi ek zinda laash ko
char kandho  par kaharon ne uthaya hoga

No comments: