aaj k is dour mein aye dost ye manzar kyun hai



aaj k is dour mein aye dost ye manzar kyun hai
zakhm hai har sar pe har haath mein patthar kyun hai

jab haqeeqat hai k har zameer mein tu rehta hai
phir zameen par kahin masjid to kahin mandir kyun hai

apna anjaam to maalum hai sab ko phir bhi
apni nazaron mein har insaan sikandar kyun hai

zindagi jeeney ke qaabil hi nhi ab zakhmi
werna har aankh mein ashkon ka samandar kyun hai.....!

No comments: