tere pyar ko pane ki khatir



tere pyar ko pane ki khatir
ham har had se guzar jayege
tujhe pane ki koshish me shayad
apna sab kuch ham kho bhi jayege

todte raho dil tum kanch ki tarah
hum tutkar bhi sirf tumhe hi chahenge
kya hua agar tumhe pa na sake
tumhe pane ki zid liye hi mar jayenge

agar keh do ek bar ki khush rahoge humare bina
hum apki is duniya se chale jayenge
maut bhi mile apki khusi ki kemat par
apki kasam apki khusi k liye mar jayenge…....!

hum teri yaad se khud ko bacha na sake



hum teri yaad se khud ko bacha na sake
aur teri mohobbat ko tujh se chupa na sake

ye bhi maloom tha k paa nhi sakenge tumhe
magr phir bhi umeed k diye ko bujha na sake

kitni hasrat thi k kehe doon k
tum bin jee nhi sakte
magar samne tere hum nazrein utha na sake

tum bhi to jan kar hi anjan se ban gaye
aur hum bhi tumhen haal-e-dil bata na sake

laakh koshish ki dil ne k bhool jaon thuje
magr ek pal bhi hum tumhe bhula na sake......!

jurm-e-ulfat main log hamen saza detey hai



jurm-e-ulfat mein log hamen saza detey hai
kitne nadan hai jo sholon ko hawa dete hai

kaise mumkin hai dil bhi jale aur duhwan bhi na ho
parti hai to pathar bhi sada dete hai

aap se to guzra hai waqat do ghari ka
log to sadion ki muhabbat ko bhi bhula detey hai

bas jahan bhi raho sada khush raho
hum tum ko bus yehi DUA dete hai

kon yaad rakhta hia kisi ko bichar jane k baad
ghar ki dehleaz chortey hi apne bhi bhula detey hai.....!

mujhe rona to nhi aata



suno jana

mujhe rona to nhi aata
mujhe khona bhi nhi aata

k tum bin jeena mushkil hai
jo dard tum dena chahti ho mujhe wo sehna bhi nhi aata

tum to reh lo ge saath kisi aur k mgar
main kya krun k mujhe rasta badalna bhi nhi aata

tum to waqif ho andaz-e-guftugu se
mujhe to baat krne ka salika bhi nhi aata

tum to jeet jate ho lar jhagar kar bhi
dekho mujhe to larna bhi to nhi aata

tum to khush reh lo ge mere bin
dekho tumhare bin to mujhe jeena bhi nhi aata......!