Mausam Hai Barish Ka Or Yaad




Mausam hai barish ka or yaad tumhari aati hai
barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai


badal jab garajte hai dil ki dharkan badh jati hai
dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai


jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai
mausam hai barish ka or yaad tumhari aati hai

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein




Aaj dulhan ke laal jode mein
use uski saheliyon ne sajaya hoga


meri jaan ke gore haathon per
sakhiyon ne mehndi ko lagaya hoga


bahut gehra chadega mehndi ka rang
us mehndi mein usne mera naam chupaya hoga


reh reh ker ro padegi
jab jab usko khayal mera aaya hoga


khud ko dekhgi jab aaine mein
to aks usko mera bhi nazar aaya hoga


lag rahi hogi balaa si sunder woh
aaj dekh kar usko chaand bhi sharmaya hoga


aaj meri jaan ne
apne maa baap ki izzat ko bachaya hoga


usne beti hone ka
doston aaj har farz nibhaya hoga


majboor hogi woh sabse zyada
sochta hoon kis tarah usne khud ko samjhaya hoga


apne haathon se usne
hamare prem ke khaton ko jalaya hoga


khud ko majboot bana kar usne
apne dil se meri yaadon ko mitaya hoga


toot jayegi tasver meri
jab uski maa ne tasveer ko table se hataya hoga


ho jayenge laal mehndi wale haath
jab un kanch ke tukdon ko usne uthaya hoga


bhooki hogi wo jaanta hoon mein
kuch na us pagli ne mere bageir khaya hoga


kaise sambhala hoga khudko
jab use fairon ke liye bulaya hoga


kaampta hoga jism uska
haule se pandit ne haath uska kisi or ko pakdaya hoga


mein to majboor hoon pata hai use
aaj khud ko bhi bebas sa usne paaya hoga


ro ro ke bura haal ho jaayega uska
jab waqt uski vidayi ka aaya hoga


bade pyaar se meri jaan ko
maa baap ne doli mein bithaya hoga


ro padegi aatma bhi
dil bhi chekha or chilaya hoga


aaj apne maa baap ke liye
usne gala apni khushiyon ka dabaya hoga


reh na payegi juda hoker mujhse
dar hai ki zehar chupke se usne khaya hoga


doli mein baithi ek zinda laash ko
char kandho  par kaharon ne uthaya hoga

Miley Har Qadam Pe Rafaqat Tumhari




miley har qadam pe rafaqat tumhari
kahan ham kahan ya inayat tumhari

hamein chahiye bas taluq tumhara
muhabbat miley ya adawat tumhari

kisi se bhi milna usay jeet lena
barri dil nasheen hai ya adat tumhari

na dekha jahan mein aur koi tumsa
bari aalag si hai tabiyat tumhari

humein zindagi k kathan raston mein
hemesha rahay gi zarurat tumhari.....!

terey pyar ki ARZOO thi jo mujhay mil na saka



Teray pyar ki ARZOO thi jo mujhay mil na saka
dil main wo phool sajaya jo kabhi khil na saka
basi hai ek hi moorat meray dil k mandir main
khoya jo usey phir wesa koi kabhi mil na saka

chupaya hai tujhay pelkon main khuab ki terhan
meri aankhon ke samander ko kinara mil na saka
dil ke raaste main koi is terhan se na bhatke
ke doobta hi chala gaya koi sahara mil na saka

teri chahat main janey kitni door nikal gaya hu main
par meri kismat to dekho ek pal ko bhi tu meray sath chal na saka
hai ye meri dua ke sada aabad reho tum
milay har wo sukh tumhain jo mujhay kabhi mil na saka....!

Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya



Tera zikar bhi karna chor diya
ab ham ne rona chor diya

jab rona nhi to hasna kiya
ab hasna hasana bhi chor diya

tum rootha karti thi ham se
ab ham ne to manaana bhi chor diya

teri yaad bohot aati thi hamain
ab to tujhe yaad bhi karna chor diya

Kabhi Pyar Ki Jhagre Kabhi Mohabbat Ki Batain



kabhi pyar ki jhagre kabhi mohabbat ki batain
wohi aap k qissey wohi ap ki batain

wo miley hai mujko aksar raah me chaltey chaltey
wohi ajnabi nighaein wohi berukhi si batain

na samaj saka jahan mein koi mera dard
mere gham ko log samjhe meri shayari ki batein

koi hamko ye bataye ye junoon nhi to or kya hai
miley jab bhi hum kisi se kare apki batain

mere haal pe wo yuhin kuch aese muskuray
mein sun raha hu jaise kisi ajnabi ki batain.....!

Kuch Umar Ki Pehli Manzil Thi


kuch umar ki pehli manzil thi

kuch raaste thay anjaan bohat

kuch hum bhi pagal thay lekin

kuch wo bhi thay nadaan to bohat

kuch us ne bhi nhi samjhaya

ye piyaar nhi aasaan tha bohat

aakhir hum ne bhi khel liya

jis khel mein tha nuqsaan bohat