Ab to wafao se bhi mukar gaye hai hum

Ab to wafao se bhi mukar gaye hai hum
Ab to mohabbat se bhi dar gaye hai hum

Ab saharon ki baat mat karna Kashif
Ab to dilason se bhi bhar gaye hai hum

Jab bulate the zinda dil the hum
Ab na aao ke mar gaya hai hum

Kya bhala dhundhate ho seena-e-dil me
Ab to Jaan se bhi guzar gaye hai hum

Ab na wo pagalpan hai or na hi wo wehshat
Chot kha kar sgayad ab sudhar gaya hai hum....!