wo hata rehain hai parda



wo hata rahain hai parda
sar-e-aam chupke chupke

koi qatal ho raha hai
dar-e-baam chupke chupke

ye jhuki jhuki nighain
ye haseen haseen ishaare

kahin le na jaain shayad
meri jaan chupke chupke

kabhi shokiyan dikhana
kabhi un ka muskurana

ye adaain ker na daalain
mera kaam chupke chupke

ye jo hichkiyan musalsal
mjhe aa rahi hai yaroo

koi le raha hai shayad
mera naam chupke chupke....!

No comments: