kafi arsa beet gaya jane ab wo kesi hogi



kafi arsa beet geya jane ab wo kesi hogi
waqt ki kadwi batein chup chup k sehti hogi

ab bhi bhigi barish main wo bin chatri k chalti hogi
duniya ki bhed mein aaj bhi najren jhukaker chalti hogi

dekha nhi barso se najane kesi dikhti hogi
aaj bhi to kisi kone me chahat ki chingari silugti hogi

dard or tanhai me wo kabhi to yaad karti hogi
dekhne ko kabhi uski aankhein bhi to tarasti hogi

aaj bhi to phoolo ki terha muskurati hogi
jab paglon wali baat humari yaad aati hogi

kehta hai joker sara zamana ye geet wo ab bhi gungunati to hogi
aankhon me jab humari surat unhe nazar aati hogi

kahi kone me jaa kar chupe k se sarmati to hogi ......!

phir kisi ki yaad ne hai raat bhar hai jagaya hum ko



phir kisi ki yaad ne hai raat bhar hai jagaya hum ko
kiya saza di hai mohabbat ne khudaya hum ko

din ko aaram hai na raat ko hai chain kabhi
janay kis khaak se khuda ne banaya hum ko

dukh to ye hai k zamane me milay ghair sabhi
jo mila hai wo mila ban k paraya hum ko

jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko
ghar ki deewaron ne seenay se lagaya hum ko

yu to umeed-e-wafa tum se nhi hai koi
phir bhi charaghon ki tarah kis ne jalaya hum ko

bewafa zindagi ne jab chor diya hai tanha
mot ne piyar se pehloo me bithaya hum ko

wo diya hu jo mohabbat ne jalaya tha kabhi
gham ki andhi ne subah or shaam bujhaya hum ko.....!

pather bana diya humein rone bhi na diya



pather bana diya humein rone bhi na diya
daman bhi tumhare gham main bhigone na diya

tanhaian tumhara pata pochti rahi
shab bhar tumhari yaad ne humein sone na diya

dil ko tumhari yaad k aansoo aziz the
duniya k koi gham samone na diya

kashif  yu us ki yaad chali hath tham kar
mele main is jahan k hamein khone bhi na diya.....!

tumhe yaad karte hai ham har sans k bad



tumhe yaad karte hai hum har sans k baad
kabhi subha se pehle kabhi sham k baad

kabhi mil kar bedo to kuch karen batein
kuch jam se pehle kuch jam k baad

dil ki dewaron pe tumhara naam likte hai har shaam
kabhi fursat mein kabhi kaam k baad

mere marne k baad bhi log tumhe pukara krenge
kabhi mere naam se pehle to kabhi mere naam k baad....!

apne jazbaat tumse kya kahu



apne jazbaat tumse kya kahu
dil me dabi hai jo baat tumse kya kahu

hai tanha si zindagi tumhare bin
us tanha lamhe ki baat tumse kya kahu

wo masoom sa muskurata hua chehra tumhara
us hasin pal ki mithas tumse kya kahu

yu to dil me dabi hai sawal kai
kaise karu izhar tumse kya kahu

rab se mangi hai tumhe pane ki ek muraad
tumhari judai k dard ka ehsas tumse kya kahu

nigahon me hai bas ek tasver tumhari
is pagal dil ko hai tumhari talash tumse or kya kahu

kyu dil sunta hai tumhari har unkahi baat
wo unkahe alfaz tumse kya kahu.....!