jane wale se ab meri baat kabhi ho k na ho

jane wale se ab meri baat kabhi ho k na ho
dekhiye khud hi ab se mulakat kabhi ho k na ho

chand taaro k lahu se bana hai kashif
kya khabar sheer me ab raat kabhi ho k na ho

aaj lafzo se saja lejiye mani k mehel
jane phir lafzo ki ye barsaat kabhi ho k na ho

baaz lamho ka main qaidi hu mujhe kya matlab 
din kabhi ho k na ho raat kabhi ho k na ho

kyu bujhate ho mohabbat ki faroza-shama
phir mukadar mein ye sogat kabhi ho k na ho

zindagi maan si rawayo mein guzari sahab
ab meri baat ka atbar ho k na ho

jane wale se meri baat kabhi ho k na ho
dekhiye khud se mulakat kabhi ho k na ho....!