nishan tak na milyega meri wafao ka usay



nishan tak na milyega meri wafao ka usay 
k maine rah badl di hai aazma k usay 

kabhi na harf koi uski sadgi ka khula 
warq warq parha main ne dil laga k usay 

jo sab ka haal hua tha wo he mera haal hua 
bani na baat koi baat bhi suna k usay

mujhy yaqeen hai wo laut kar bhi ayege 
magr udaas hu ab raasta dikha k usay....!

No comments: