mumkin ho aap se to bhula dijiye hamko




mumkin ho aap se to bhula dijiye hamko
pathar pe hu lakeer ho sake to mita dijiye hamko

har rooz hamse hai taaza shikayat aap ko
ham kya hai ek baar bata dijiye hamko

hamare siwa bhi hai koi muda guftugu ka
apna bhi koi rang dikha dijiye hamko

ham kya hai kis jagah hai hamko kuch khabar nhi
hai aap kitni dur hai zara sada dijiye hamko

ki hamne apne zakham ki taseer ja baja
ham mantey hai jurm saza dijiye hamko

agar ho sake koi rishta aap ke sath
gehre samandaron main baha dijiye hamko

jalte dinoon main khud paas deewar baith kar
saye ki justuju main laga dijiye hamko

you to shola-e-jaan sard ho chuka
laikin sulag uthon to hawa dijiye hamko.....!

safar per sath chali thi jo rehbaron ki tarah



safar per sath chali thi jo rehbaron ki tarah
juda hui wo bhi aakhir musafiron ki tarah

main sochta hu wo kaise bichar gayi mujhse
jo dhoop me milti thi mujhe badalon ki tarah

ajeeb larki thi hawaon se dushmani le kar
wo rait per likhti thi mera naam paglon ki tarah

wo chahaton ki mukamal kitab thi yaaro
mujhe fasana sunati thi shairon ki tarah......!

har kisi ko duniya mein shohratein nhi mila karte


har kisi ko duniya mein shohratein nhi mila karte
zindagi k lamhon ki qematein nhi mila karte

fatah ki khwahish me amal bhi to laazim hai
sirf kuch iraadon se manzilein nhi mila karte

faislay ye chahat k asman pe hote hai
do dilon k milnay se qismatein nhi mila karte

deen or duniya ko sath hi rakhna parta hai
masjidon me rehne se janatain nhi mila karti

maan lo zamanay me or bhi hai hum jaisay
hisab-e-aarzoo jin ko chahtein hai wo mila karte.......!

mohabbat pagal kar degi to kya karo gay soch lo


mohabbat pagal kar degi to kya karo gay soch lo
kabhi aisa howa to kya karo gay soch lo

sath us ke har qadam chalne ki adat kis liye
chor ke wo chal diya to kya karo gay soch lo

shor bahir hai abhi is waste khamosh ho
shor ander ghir utha to kya karo gay soch lo

kar rahe ho ghar naya tameer urti rait per
ye achanak ghir para to kya karo gay soch lo

band palko per adhore khuwab bante ho magar
koi in me aa basa to kya karo gay soch lo

doobte sooraj ka chehra or us ki naqhs sa
jab wo manzar gum howa to kya karo gay soch lo.......!

dua nhi to badua hi deta koi



dua nhi to badua deta koi
meri wafaon ka sila deta koi

jab mukadar hi nhi tha apna
yaad nhi to bahla kya deta koi

hasil-e-ishq faqat dard hai
aye kash pehle hi baat deta koi

taqdeer nhi thi agar aasmaan chuna
khaq me hi mila deta koi

bewafa bhi humein bewafa keh gaya
is se zyada kya daga deta koi

guman hi ho jata kisi apne ka
daman hi pakar kar hila deta koi

arse se atka hai hinchkiyoun pe dun
acha hota ke bhula deta koi

apne dil ke kisi koney main chupa le mujhko


apne dil ke kisi koney main chupa le mujhko
or zamane ki nigahon se bacha le mujh ko

main hu tasveer teri raah main koi rond na de
dil ke sheshey main mohabbat se saja le mujhko

main to heera hu magar kis ko kaha hai pehchan meri
pyar se barh ke tu hathon mein utha le mujhko

us ke hote huye ab banna sanwarna kesa
apni chahat se kisi rang main dhaley mujhko

hijar ki dhoop main jalta hu ik mohaddat se
thak chuka hu zara sene se laga le mujhko

zindagi mein ajey ga majnu tera
jab bhi dil chahey tera pass bula le mujhko.....!

baharo ki mosam me ujrey raste



baharo ke mosam me ujrey rasty
chala karo ge to ro paro ge

kisi se milne ko jab bhi
saja karo ge to ro paro ge

kabhi chaand raton me jab kisi se
mila karo ge to ro paro ge

barasti barish me yaad rakhna
tumhe stayein gi meri ankhen

kisi wali k mazar par jab
dua karo ge to ro paro ge....!

mohabbat se raha hona zarori hogaya hai



mohabbat se reha hona zarori hogya hai
mera tujh se juda hona zarori hogya hai

wafa k tajrube karte hua to umer guzri gai
zara sa bewafa hona zarori hogya hai

meri aawaz tanhai main madti ja rahi hai
kisi ka hamnawa hona zarori hogya hai

bhanwar main hai kai barson se apni kashti-e-jaan
kisi ka na-khuda hona zarori hogya hai....!