Tere Mere Beech Zamana Parta Hai




tere mere beech zamana parta hai
dil ko kitni baar batana perta hai


thehar gayi hai baat muqadder per aa ker
khud ko ye aksar samjhana parta hai


sochon ko kab qaid koi ker paya hai
lekin khud ko tu samjhana parta hai


rasta ho dushwaar ya raahi anjaane
is jeevan ka saath nibhana to parta hai


khamoshi ke dasne ka dar ho jis dam
ayse mein khud shor machana parta hai


paas mere to sirf tumhari yaaden hai
yaadon se dil ko behlana parta hai.....!

Tujhse Milne Ki Saza Denge Tere Shehar Ke Log



tujhse milne ki saza denge tere shehar ke log
ye wafaon ka sila denge tere shehar ke log

kya khabar the tere milne pe qayamat hogi
mujhko deewana bana denge tere shehar ke log

teri nazaron se giraane ke liye jaan-e-haya
mujhko mujrim bhi bana denge tere shehar ke log

kehke dewana mujhe maar rahe hai patthar
aur kya iske siwa denge tere shehar ke log

Toota Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo



toota zaroor hoga bicharnay k baad wo
tarpa zaroor hoga bicharnay k baad wo

kehta nhi kisi se magar jantay hai hum
roya zaroor hoga bicharnay k baad wo

raat k andheron main tanhion k beech
jaga to zaroor hoga wo bicharnay k baad

dehleez per puranay zamano ka muntazir
betha zaroor hoga bicharnay k baad wo

uthtey qadam humari taraf ruktay howay
uljha zaroor hoga bicharnay k bad wo

her zakham ka ilaaj maseehaai main nhi
samjha zaroor hoga bicharnay k baad wo

Woh Naam Tha Badal Gaya



woh naam tha badal gaya 
main shaam tha dhal gaya

woh nazer thi jhuk gaye
main thereer tha mit gaya

woh shaama thi pighal gaye
main parwana tha jal gaya

woh ashq tha behe gaya
main dard tha seh gaya

woh chand tha chup gaya
main badal tha baras gaya

woh toofan tha guzar gaya
main gulshan tha bikher gaya

Ye Manzilen Ye Raaste



ye manzilen ye raaste
meri har dua tere waaste

ye sakoon or ye beqaraar bhi
meri dosti tere waaste

kabhi gham na tere qareeb ho
tujhe har khushi naseeb ho

meri ilteja tere waaste
meri har dua tere waaste
meri har dua tere waaste