Tumhara Naam Likh Likh Kar Mitana Bhool Jata Hu



Tumhara naam likh likh kar mitana bhool jata hu
tumhein jab yaad karta hu bhulana bhool jata hu

bohat si aisi baatein hai jo mere dil main rehti hai
magar jab tum se milta hu sunana bhool jata hu

tumhare baad ab har pal bari mushkil se kat-ta hai
mai aksar tum ko khuwabon main basana bhool jata hu

main har shaam kehta hu tum ko bhool jaoonga
magar jab subah hoti hai main apna iraada bhool jata hu.....!

No comments: