raaz-e-dil aam kar gaye aansu


raaz-e-dil aam kar gaye aansu
gham ko badnaam kar gaye aansu


aaj usne bhi mera haal puchh liya
aaj to kya kamal kar gaye aansu


ham kisi ke na the magar hamko
aap ke naam kar gaye aansu


har kisi ne lagaya daam
gam ko bhi nilaam kar gaye aansu


dhund si chha gayi hai aankhon mein
har taraf shaam si kar gaye aansu.....!

No comments: