na jane kyu aaj bhi ye ehsas hota hai




na jane kyu aaj bhi ye ehsas hota hai
tu sath nhi phir bhi aas paas hota hai


jo dil-e-sheher ek baar barbaad ho jaye
mudat-to k baad wo phir se abaad hota hai


kabhi yu bhi hota hai ke jise apna samjha jaye
waqt aaney per wo shakhs hi paraya hota hai


tu chala jata hai jab bhi chor kar hume
dil ke kisi koney me, tu kahin bsaa hota hai


badal ko samajhne ke liye zarourat nhi hai hawalon ki
bas ek lafz -e-Mohabbat hi kafi hota hai


aankhon se behte huye samandar ko pani na samajna
yaad karte hue tujhe meri aankhon mein lahu hota hai


lot'te nhii hai dobara jo ek baar chale jate hai
magar phir bhi duayon ki umed mein to hi aas hota hai


tere siwa mere kano ko koi or sada pasand nhi ati
bas ek tu hi meri dharkan ki awaz hota hai


bhat'tak sa jata hu mein jab bhi ghamon ke saye mein
dilasey ke liye mere pass teri yaad ka jugnu hota hai


hamare naseeb mein kahan hai tumse milna
hamare liye to khawb ka jahan hi haqeqat hota hai


raat kitni hi gehri kyu na ho jaye kashif
ek na ek din sawera zaroor hota hai.....!

No comments: