Rona Aa Hi Jata Hai




Zamana jab rulata hai to rona aa hi jata hai
Koi jab apna satata hai to rona aa hi jata hai

Khudaya teri dunya mein koi husan-e-mujasm jab
Kisi ka dil dukhata hai to rona aa hi jata hai

Main dekhon jab parwane ko wafa ki chah mein akhir
Ye apni jaan lutata hai to rona aa hi jata hai

Muqadar khud bulatay hai magar dastor-e-ulfat hai,
Koi jab door jata hai to rona aa hi jata hai

Ye aansoo rukte hai magar aksar gamon ki tamana la kar
Zabt jab toot jata hai to rona aa hi jata hai

musafir is zindagi ki tanha raton mein muje aksar
Koi jab yaad aata hai to rona aa hi jata hai....!

No comments: