kis haal mein hai us k chahney waley






ham ne to us se shikayat kabhi na ki
aisa nhi k dil ne bagawat kabhi na ki


kis haal mein hai us k chahney waley
usney ye puchney ki zehmat kabhi na ki


chaha hai main jisko bari shiddaton k saath
es tarha usney mujh se mohabbat kabhi na ki


har baat uski humne badi ghor se suni
lekin bayan apni himayat kabhi na ki


ek aag thi ke jis mein jaltey rahey umar bhar
ek dard tha k jis mein khayanat kabhi na ki....!

No comments: