meri MAA labo par uske kabhi badua nhi hoti


labo par uske kabhi badua nhi hoti
bas ek MAA hai jo kabhi khafa nhi hoti

is tarah mere galtiyo ko wo dho deti hai
MAA bahut gusse mein hoti hai to bas ro deti hai

Maine rote hue ponche the kisi din aansoo MAA ke
muddaton MAA ne nhi dhoya dupata apna

abhi zinda hai maa meri mujhe kuch bhi nhi hoga
main jab ghar se nikalta hu dua bhi saath chalti hai

jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
MAA dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya
MAA ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya

 meri khwahish hai ki main phir se farishta ho jaun
MAA se is taraha liptun k phir se bachcha ho jaun

'Kashif' MAA k aage yun kabhi khul kar nhi rona
jahan buniyaad ho waha itni nami achi nhi hoti.....!

No comments: