Kisi sabab se magar bolta nhi hu main





Kisi sabab se magar bolta nhi hu main
to yu nhi ke tujhey sochta nhi hu main

main tum ko khud se juda kar ke kis tarah daikhu
ke main bhi tum ho koi dusra nhi hu main

mairey badan ki har deewar mein anaa rakhi hai
main khud bana hu banaya huwa nhi hu main

mairey wajood ke andar mujhey talaash na kar
ke is makaan mein aksar raha nhi hu main

main ek umar se khud ko talashta hu magar
mujhey yaqeen nhi hu bhi ya nhi hu main

No comments: