dua nhi to badua hi deta koi



dua nhi to badua deta koi
meri wafaon ka sila deta koi

jab mukadar hi nhi tha apna
yaad nhi to bahla kya deta koi

hasil-e-ishq faqat dard hai
aye kash pehle hi baat deta koi

taqdeer nhi thi agar aasmaan chuna
khaq me hi mila deta koi

bewafa bhi humein bewafa keh gaya
is se zyada kya daga deta koi

guman hi ho jata kisi apne ka
daman hi pakar kar hila deta koi

arse se atka hai hinchkiyoun pe dun
acha hota ke bhula deta koi

No comments: