mumkin ho aap se to bhula dijiye hamko




mumkin ho aap se to bhula dijiye hamko
pathar pe hu lakeer ho sake to mita dijiye hamko

har rooz hamse hai taaza shikayat aap ko
ham kya hai ek baar bata dijiye hamko

hamare siwa bhi hai koi muda guftugu ka
apna bhi koi rang dikha dijiye hamko

ham kya hai kis jagah hai hamko kuch khabar nhi
hai aap kitni dur hai zara sada dijiye hamko

ki hamne apne zakham ki taseer ja baja
ham mantey hai jurm saza dijiye hamko

agar ho sake koi rishta aap ke sath
gehre samandaron main baha dijiye hamko

jalte dinoon main khud paas deewar baith kar
saye ki justuju main laga dijiye hamko

you to shola-e-jaan sard ho chuka
laikin sulag uthon to hawa dijiye hamko.....!

No comments: